dil kho gaya hun main yahin diwana-pan ke bich
dil kho gayā huuñ maiñ yahīñ dīvāna-pan ke biich
tum bhī to dekho zulf-e-shikan-dar-shikan ke biich
kyā jaane dil meñ chaav the kyā kyā dam-e-visāl
mahjūr us kā thā hama-hasrat kafan ke biich
kan.āñ se jā ke misr meñ yūsuf huā aziiz
izzat kisū kī hotī nahīñ hai vatan ke biich
sun ai junūñ ki mujh meñ nahīñ kuchh sivā-e-dam
taar ek rah gayā hai yahī pairahan ke biich
sarsabz hind hī meñ nahīñ kuchh ye reḳhta
hai dhuum mere sher kī saare dakan ke biich
suthrā.ī aur nāzukī gul-barg kī durust
par vaisī bū kahāñ ki jo hai us badan ke biich
qaaf
bulbul ḳhamosh-o-lāla-o-gul donoñ surḳh-o-zard
shamshād mahv-e-be-kalī ik nastaran ke biich
kal ham bhī sair-e-bāġh meñ the saath yaar ke
dekhā to aur rang hai saare chaman ke biich
qaaf
yā saath ġhair ke hai tumheñ vaisī bāt-chīt
sau sau tarah ke lutf haiñ ik ik suḳhan ke biich
yā paas mere lagtī hai chup aisī aan kar
goyā zabāñ nahīñ hai tumhārī dahan ke biich
farhād-o-qais-o-'mīr' ye āvārgān-e-ishq
yūñhī ga.e haiñ sab kī rahī man kī man ke biich
dil kho gaya hun main yahin diwana-pan ke bich
tum bhi to dekho zulf-e-shikan-dar-shikan ke bich
kya jaane dil mein chaw the kya kya dam-e-visal
mahjur us ka tha hama-hasrat kafan ke bich
kanan se ja ke misr mein yusuf hua aziz
izzat kisu ki hoti nahin hai watan ke bich
sun ai junun ki mujh mein nahin kuchh siwa-e-dam
tar ek rah gaya hai yahi pairahan ke bich
sarsabz hind hi mein nahin kuchh ye reKHta
hai dhum mere sher ki sare dakan ke bich
suthrai aur nazuki gul-barg ki durust
par waisi bu kahan ki jo hai us badan ke bich
qaf
bulbul KHamosh-o-lala-o-gul donon surKH-o-zard
shamshad mahw-e-be-kali ek nastaran ke bich
kal hum bhi sair-e-bagh mein the sath yar ke
dekha to aur rang hai sare chaman ke bich
qaf
ya sath ghair ke hai tumhein waisi baat-chit
sau sau tarah ke lutf hain ek ek suKHan ke bich
ya pas mere lagti hai chup aisi aan kar
goya zaban nahin hai tumhaari dahan ke bich
farhad-o-qais-o-'mir' ye aawargan-e-ishq
yunhi gae hain sab ki rahi man ki man ke bich
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 2, Ghazal No- 0790
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.