dil ki kuchh taqsir nahin hai aankhen us se lag paDiyan

dil ki kuchh taqsir nahin hai aankhen us se lag paDiyan
Meer Taqi Meer
MORE BYMeer Taqi Meer
dil kī kuchh taqsīr nahīñ hai āñkheñ us se lag paḌiyāñ
maar rakhā so un ne mujh ko kis zālim se jā laḌiyāñ
ek nigah meñ mar jaatā hai āshiq-e-kūchak-dil us kā
zahr bharī kyā kaam aatī haiñ go ve āñkheñ hoñ baḌiyāñ
uqde dāġh-e-dil ke shāyad Dast-e-qudrat kholegā
nāḳhun se tadbīr ke merī khultī nahīñ ye gul-jhaḌiyāñ
nahs the kyā ve vaqt o saa.at jin meñ lagā thā dil apnā
saal pahar hai ab to ham ko maah barābar haiñ ghaḌiyāñ
'mīr' balā-e-jān rahe haiñ donoñ firāq-o-vasl us ke
hijr kī rāteñ vo bhārī thiiñ milne ke din kī ye kaḌiyāñ
dil ki kuchh taqsir nahin hai aankhen us se lag paDiyan
mar rakha so un ne mujh ko kis zalim se ja laDiyan
ek nigah mein mar jata hai aashiq-e-kuchak-dil us ka
zahr bhari kya kaam aati hain go we aankhen hon baDiyan
uqde dagh-e-dil ke shayad Dast-e-qudrat kholega
naKHun se tadbir ke meri khulti nahin ye gul-jhaDiyan
nahs the kya we waqt o saat jin mein laga tha dil apna
sal pahar hai ab to hum ko mah barabar hain ghaDiyan
'mir' bala-e-jaan rahe hain donon firaq-o-wasl us ke
hijr ki raaten wo bhaari thin milne ke din ki ye kaDiyan
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 4, Ghazal No- 1453
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.