dil ki taDap ne halak kiya hai dhaDke ne is ke uDai KHak

dil ki taDap ne halak kiya hai dhaDke ne is ke uDai KHak
Meer Taqi Meer
MORE BYMeer Taqi Meer
dil kī taḌap ne halāk kiyā hai dhaḌke ne is ke uḌaa.ī ḳhaak
ḳhushk huā ḳhuun ashk ke badle reg-e-ravāñ sī aa.ī ḳhaak
sūrat ke ham aa.ine ke se zāhir faqr nahīñ karte
hote saate rote paate un ne muñh ko lagā.ī ḳhaak
pech-o-tāb se ḳhaak bhī merī jaise bagūlā phirne lagī
sar meñ havā hī us ke bahut thī tab to huī hai havā.ī ḳhaak
aur ġhubār kisū ke dil kā kis andāz se nikle aah
rū-e-falak par badlī sī to saarī hamārī chhā.ī ḳhaak
ne’mat-e-rangā-rang-e-haq se bahra baḳht-e-siyah ko nahīñ
saañp rahā go ganj ke uupar khāne ko to khaa.ī ḳhaak
apne ta.iiñ gum jaisā kiyā thā yaañ sar khīñch ke logoñ ne
‘ālam-e-ḳhāk meñ vaisī hī ab DhūñDī un kī na paa.ī ḳhaak
uns nahīñ insān se achchhā 'ishq-o-junūñ ik aafat hai
farq hue kyā chhoḌe hai aadam meñ us kī judā.ī ḳhaak
ho ke faqīr galī meñ us kī chain bahut sā paayā ham
le ke sirhāne patthar rakkhā jā-e-farsh bichā.ī ḳhaak
qalb gudāz haiñ jin ke ve bhī miTTī sonā karte haiñ
'mīr' iksīr banā.ī unhoñ ne jin kī jahāñ se uThā.ī ḳhaak
dil ki taDap ne halak kiya hai dhaDke ne is ke uDai KHak
KHushk hua KHun ashk ke badle reg-e-rawan si aai KHak
surat ke hum aaine ke se zahir faqr nahin karte
hote sate rote pate un ne munh ko lagai KHak
pech-o-tab se KHak bhi meri jaise bagula phirne lagi
sar mein hawa hi us ke bahut thi tab to hui hai hawai KHak
aur ghubar kisu ke dil ka kis andaz se nikle aah
ru-e-falak par badli si to sari hamari chhai KHak
ne’mat-e-ranga-rang-e-haq se bahra baKHt-e-siyah ko nahin
sanp raha go ganj ke upar khane ko to khai KHak
apne tain gum jaisa kiya tha yan sar khinch ke logon ne
‘alam-e-KHak mein waisi hi ab DhunDi un ki na pai KHak
uns nahin insan se achchha 'ishq-o-junun ek aafat hai
farq hue kya chhoDe hai aadam mein us ki judai KHak
ho ke faqir gali mein us ki chain bahut sa paya hum
le ke sirhane patthar rakkha ja-e-farsh bichai KHak
qalb gudaz hain jin ke we bhi miTTi sona karte hain
'mir' iksir banai unhon ne jin ki jahan se uThai KHak
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 5, Ghazal No- 1662
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.