dil ko gul kahte the dard-o-gham se murjhaya gaya
dil ko gul kahte the dard-o-ġham se murjhāyā gayā
jī ko mehmāñ sunte the mehmān sā aaya gayā
ishq se ho haal jī meñ kuchh to kahiye dekhiyo
ek din bāteñ hī karte karte sannāyā gayā
justujū meñ ye ta.ab khīñche ki āḳhir ho ga.e
ham to kho.e bhī ga.e lekin na tū paayā gayā
ik nigah karne meñ ġhārat kar diyā ai vaa.e ham
dil jo saarī umr kā apnā thā sarmāya gayā
kyā ta.ajjub hai jo koī dil-zada nāgah mire
iztirāb-e-ishq meñ jī tan se ghabrāyā gayā
maah kahte to kahā us rū-e-ḳhush kā hai harīf
shahr meñ phir ham se apnā muñh na dikhlāyā gayā
jaise parchhā.īñ dikhā.ī de ke ho jaatī hai mahv
'mīr' bhī us kām-e-jāñ kā vūhīñ thā saaya gayā
dil ko gul kahte the dard-o-gham se murjhaya gaya
ji ko mehman sunte the mehman sa aaya gaya
ishq se ho haal ji mein kuchh to kahiye dekhiyo
ek din baaten hi karte karte sannaya gaya
justuju mein ye tab khinche ki aaKHir ho gae
hum to khoe bhi gae lekin na tu paya gaya
ek nigah karne mein ghaarat kar diya ai wae hum
dil jo sari umr ka apna tha sarmaya gaya
kya tajjub hai jo koi dil-zada nagah mere
iztirab-e-ishq mein ji tan se ghabraya gaya
mah kahte to kaha us ru-e-KHush ka hai harif
shahr mein phir hum se apna munh na dikhlaya gaya
jaise parchhain dikhai de ke ho jati hai mahw
'mir' bhi us kaam-e-jaan ka wuhin tha saya gaya
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 4, Ghazal No- 1323
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.