dil mera muztarib nihayat hai
dil mirā muztarib nihāyat hai
ranj-o-hirmāñ kī ye badāyat hai
muñh idhar kar kabhū na vo soyā
kyā duā shab kī be-sarāyat hai
ab vo mah aur ek mah se milā
chand-dar-chand ye hikāyat hai
har taraf bahs tujh se hai ai ishq
shukr terā tirī shikāyat hai
aise ranj-o-'anā meñ ūdhar se
pursish-e-hāl bhī ināyat hai
dahr kā ho gila ki shikva-e-charḳh
us sitamgar hī se kināyat hai
mat murā.āt-e-ġhair rakh manzūr
mere haq meñ yahī ri.āyat hai
āshiq ab baḌh ga.e hameñ chhāñTo
is meñ sarkār kī kifāyat hai
kab mile 'mīr' mulk-dāroñ se
vo gadā-e-shah-e-vilāyat hai
dil mera muztarib nihayat hai
ranj-o-hirman ki ye badayat hai
munh idhar kar kabhu na wo soya
kya dua shab ki be-sarayat hai
ab wo mah aur ek mah se mila
chand-dar-chand ye hikayat hai
har taraf bahs tujh se hai ai ishq
shukr tera teri shikayat hai
aise ranj-o-'ana mein udhar se
pursish-e-haal bhi inayat hai
dahr ka ho gila ki shikwa-e-charKH
us sitamgar hi se kinayat hai
mat muraat-e-ghair rakh manzur
mere haq mein yahi riayat hai
aashiq ab baDh gae hamein chhanTo
is mein sarkar ki kifayat hai
kab mile 'mir' mulk-daron se
wo gada-e-shah-e-wilayat hai
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 2, Ghazal No- 1032
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.