dil to afgar hai jigar hai resh
dil to afgār hai jigar hai resh
ik musībat hai mere tiiñ darpesh
paan to letā jā faqīroñ ke
barg-e-sabz ast tohfa-e-darvesh
ek dam mehr barsoñ tak kiina
yūñhī guzrī hai apnī us kī hamesh
fikr kar zād-e-āḳhirat kā bhī
'mīr' agar tū hai āqibat-andesh
dil to afgar hai jigar hai resh
ek musibat hai mere tin darpesh
pan to leta ja faqiron ke
barg-e-sabz ast tohfa-e-darwesh
ek dam mehr barson tak kina
yunhi guzri hai apni us ki hamesh
fikr kar zad-e-aKHirat ka bhi
'mir' agar tu hai aaqibat-andesh
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0240
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.