ek dil ko hazar dagh laga
ek dil ko hazār daaġh lagā
andarūne meñ jaise baaġh lagā
us se yuuñ gul ne rang pakḌā hai
sham.a se jaise leñ charāġh lagā
ḳhūbī yak-pecha band-e-ḳhūbāñ kī
ḳhuub bāñdhūñgā gar dimāġh lagā
paañv dāman meñ khīñch leñge ham
haath gar gosha-e-farāġh lagā
'mīr' us be-nishāñ ko paayā jaan
kuchh hamārā agar surāġh lagā
ek dil ko hazar dagh laga
andarune mein jaise bagh laga
us se yun gul ne rang pakDa hai
shama se jaise len charagh laga
KHubi yak-pecha band-e-KHuban ki
KHub bandhunga gar dimagh laga
panw daman mein khinch lenge hum
hath gar gosha-e-faragh laga
'mir' us be-nishan ko paya jaan
kuchh hamara agar suragh laga
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 2, Ghazal No- 0705
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.