firaq aankh lagne ki ja hi nahin
firāq aañkh lagne kī jā hī nahīñ
palak se palak āshnā hī nahīñ
gila ishq kā badv-e-ḳhalqat se hai
ġham-e-dil ko kuchh intihā hī nahīñ
mohabbat jahāñ kī tahāñ ho chukī
kuchh is rog kī bhī davā hī nahīñ
dikhāyā kiye yaar us ruḳh kā satah
kahīñ aarsī ko hayā hī nahīñ
vo kyā kuchh nahīñ husn ke shahr meñ
nahīñ hai to rasm-e-vafā hī nahīñ
chaman mahv us rū-e-ḳhush kā hai sab
gul-e-tar kī ab vo havā hī nahīñ
nahīñ dair agar 'mīr' ka.aba to hai
hamāre koī kyā ḳhudā hī nahīñ
firaq aankh lagne ki ja hi nahin
palak se palak aashna hi nahin
gila ishq ka badw-e-KHalqat se hai
gham-e-dil ko kuchh intiha hi nahin
mohabbat jahan ki tahan ho chuki
kuchh is rog ki bhi dawa hi nahin
dikhaya kiye yar us ruKH ka satah
kahin aarsi ko haya hi nahin
wo kya kuchh nahin husn ke shahr mein
nahin hai to rasm-e-wafa hi nahin
chaman mahw us ru-e-KHush ka hai sab
gul-e-tar ki ab wo hawa hi nahin
nahin dair agar 'mir' kaba to hai
hamare koi kya KHuda hi nahin
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 2, Ghazal No- 0900
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.