ghair ko dekhe hai garmi se na kuchh lag lage
ġhair ko dekhe hai garmī se na kuchh laag lage
is liye dekh rahā hai ki mujhe aag lage
aañkh har ek kī dauḌe hai kafak par tere
paañv se lag ke tire mehñdī ko kuchh bhaag lage
ho na dīvāna jo us gauhar-e-ḳhush-āb kā to
lab-e-dariyā ke ta.iiñ kyoñ raheñ yuuñ jhaag lage
ab to un gesuoñ kī yaad meñ maiñ mahv huā
go qayāmat ko mire muñh se hoñ do naag lage
laḌke dillī ke tire haath meñ kab aa.e 'mīr'
pīchhe ek ek ke sau sau phireñ haiñ Daag lage
ghair ko dekhe hai garmi se na kuchh lag lage
is liye dekh raha hai ki mujhe aag lage
aankh har ek ki dauDe hai kafak par tere
panw se lag ke tere mehndi ko kuchh bhag lage
ho na diwana jo us gauhar-e-KHush-ab ka to
lab-e-dariya ke tain kyon rahen yun jhag lage
ab to un gesuon ki yaad mein main mahw hua
go qayamat ko mere munh se hon do nag lage
laDke dilli ke tere hath mein kab aae 'mir'
pichhe ek ek ke sau sau phiren hain Dag lage
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 2, Ghazal No- 0991
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.