ghair se ab yar hua chahiye
ġhair se ab yaar huā chāhiye
multajī nā-chār huā chāhiye
jis ke ta.iiñ DhūñDūñ huuñ vo sab meñ hai
kis kā talabgār huā chāhiye
taaki vo Tuk aan ke pūchhe kabhū
is liye bīmār huā chāhiye
zulf kisū kī ho ki ho ḳhāl-o-ḳhat
dil ko giraftār huā chāhiye
teġh buland us kī huī bul-havas
marne ko tayyār huā chāhiye
mistabā-e-be-ḳhudī hai ye jahāñ
jald ḳhabar-dār huā chāhiye
mol hai bāzār kā hastī ke ye
dil ke ḳharīdār huā chāhiye
kuchh nahīñ ḳhurshīd-sifat sar-kashī
sāya-e-dīvār huā chāhiye
kar na ta.alluq ki ye manzil nahīñ
aah subuk-bār huā chāhiye
go safarī ab nahīñ zāhir meñ 'mīr'
āqibat-e-kār huā chāhiye
ghair se ab yar hua chahiye
multaji na-chaar hua chahiye
jis ke tain DhunDun hun wo sab mein hai
kis ka talabgar hua chahiye
taki wo Tuk aan ke puchhe kabhu
is liye bimar hua chahiye
zulf kisu ki ho ki ho KHal-o-KHat
dil ko giraftar hua chahiye
tegh buland us ki hui bul-hawas
marne ko tayyar hua chahiye
mistaba-e-be-KHudi hai ye jahan
jald KHabar-dar hua chahiye
mol hai bazar ka hasti ke ye
dil ke KHaridar hua chahiye
kuchh nahin KHurshid-sifat sar-kashi
saya-e-diwar hua chahiye
kar na talluq ki ye manzil nahin
aah subuk-bar hua chahiye
go safari ab nahin zahir mein 'mir'
aaqibat-e-kar hua chahiye
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0497
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.