Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ghairon se we ishaare humse chhupa chhupa kar

Meer Taqi Meer

ghairon se we ishaare humse chhupa chhupa kar

Meer Taqi Meer

MORE BYMeer Taqi Meer

    ġhairoñ se ve ishāre ham se chhupā chhupā kar

    phir dekhnā udhar ko āñkheñ milā milā kar

    har gaam sadd-e-rah thī but-ḳhāne mohabbat

    ka.abe talak to pahuñche lekin ḳhudā ḳhudā kar

    naḳhchīr-gah meñ tujh se jo nīm-kushta chhūTā

    hasrat ne us ko āḳhir maarā liTā liTā kar

    ik lutf nigah bhī ham ne na chāhī us se

    rakkhā hameñ to un ne āñkheñ dikhā dikhā kar

    nāseh mire junūñ se aagah na thā ki nāhaq

    gūdaḌ kiyā garebāñ saarā silā silā kar

    ik rang-e-pāñ us dil-ḳhūñ-kun-e-jahāñ hai

    phabtā hai us ko karnā bāteñ chabā chabā kar

    juuñ sham-e-sub.h-gāhī yak-bār bujh ga.e ham

    us sho.ala-ḳhū ne ham ko maarā jalā jalā kar

    us harf-e-nāshinau se sohbat bigaḌ hai

    har-chand laate haiñ ham bāteñ banā banā kar

    maiñ manā 'mīr' tujh ko kartā na thā hamesha

    khoī na jaan ne dil ko lagā lagā kar

    ghairon se we ishaare hum se chhupa chhupa kar

    phir dekhna udhar ko aankhen mila mila kar

    har gam sadd-e-rah thi but-KHane ki mohabbat

    kabe talak to pahunche lekin KHuda KHuda kar

    naKHchir-gah mein tujh se jo nim-kushta chhuTa

    hasrat ne us ko aaKHir mara liTa liTa kar

    ek lutf ki nigah bhi hum ne na chahi us se

    rakkha hamein to un ne aankhen dikha dikha kar

    naseh mere junun se aagah na tha ki nahaq

    gudaD kiya gareban sara sila sila kar

    ek rang-e-pan hi us ka dil-KHun-kun-e-jahan hai

    phabta hai us ko karna baaten chaba chaba kar

    jun sham-e-subh-gahi yak-bar bujh gae hum

    us shoala-KHu ne hum ko mara jala jala kar

    us harf-e-nashinau se sohbat bigaD hi ja hai

    har-chand late hain hum baaten bana bana kar

    main mana 'mir' tujh ko karta na tha hamesha

    khoi na jaan tu ne dil ko laga laga kar

    Source :
    • Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0205
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now