gar baadiye mein tujhko saba le ke jae shauq
gar bādiye meñ tujh ko sabā le ke jaa.e shauq
majnūñ ko merī or se kahiyo duā-e-shauq
vasl-o-judā.ī se hai mubarrā vo kām-e-jāñ
ma.alūm kuchh huā na hameñ yaañ sivā-e-shauq
har chaar or uḌtī phire hai hamārī ḳhaak
sar se ga.ī na jī bhī ga.e par havā-e-shauq
dair-o-haram meñ ham ko phirātā hai der tak
phir bhī hamāre saath vahī hai adā-e-shauq
afsos aise kūche se tum āshnā nahīñ
kyā dardnāk nai bhī koī hai navā-e-shauq
dard aur āh-o-nāla kare hai dam-e-sahar
yak-musht par hai murġh-e-gulistāñ pe haa.e shauq
kyā pūchhte ho shauq kahāñ tak hai ham ko 'mīr'
marnā hī ahl-e-dard kā hai intihā-e-shauq
gar baadiye mein tujh ko saba le ke jae shauq
majnun ko meri or se kahiyo dua-e-shauq
wasl-o-judai se hai mubarra wo kaam-e-jaan
malum kuchh hua na hamein yan siwa-e-shauq
har chaar or uDti phire hai hamari KHak
sar se gai na ji bhi gae par hawa-e-shauq
dair-o-haram mein hum ko phiraata hai der tak
phir bhi hamare sath wahi hai ada-e-shauq
afsos aise kuche se tum aashna nahin
kya dardnak nai bhi koi hai nawa-e-shauq
dard aur aah-o-nala kare hai dam-e-sahar
yak-musht par hai murgh-e-gulistan pe hae shauq
kya puchhte ho shauq kahan tak hai hum ko 'mir'
marna hi ahl-e-dard ka hai intiha-e-shauq
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 3, Ghazal No- 1159
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.