gar rozgar hai yahi hijran-e-yar mein
gar rozgār hai yahī hijrān-e-yār meñ
to kyā raheñge jiite ham is rozgār meñ
kuchh Dar nahīñ jo dāġh-e-junūñ ho ga.e siyāh
Dar dil ke iztirāb kā hai is bahār meñ
kyā be-qarār dil kī tasallī kare koī
kuchh bhī sabāt hai tire ahd-o-qarār meñ
betāb dil na dafn ho ai kaash mere saath
rahne na degā laash koī din mazār meñ
vo sang-dil na aaya bahut dekhī us kī raah
pathrā chalī haiñ āñkheñ mirī intizār meñ
thamtā nahīñ hai ronā 'alal-ittisāl kā
kyā iḳhtiyār girya-e-be-iḳhtiyār meñ
marbūt kaise kaise kahe reḳhte vale
samjhā na koī merī zabāñ is dayār meñ
thī bazm-e-sher raat ko shā.ir bahut the jam.a
do bāteñ ham ne aise na kiiñ chaar chaar meñ
dumbāla-gardī qais ne bahuterī kī vale
aaya nazar na mahmil-e-lailā ġhubār meñ
ab zauq-e-said us ko nahīñ varna pesh-azīñ
ūdham thā vahsh-o-tair se us ke shikār meñ
qaaf
muñh chāhiye jo koī kisū se hisāb le
nā-kas se guftugū nahīñ roz-e-shumār meñ
gintī ke logoñ kī vahāñ saf hovegī khaḌī
tū 'mīr' kis shumār meñ hai kis qatār meñ
gar rozgar hai yahi hijran-e-yar mein
to kya rahenge jite hum is rozgar mein
kuchh Dar nahin jo dagh-e-junun ho gae siyah
Dar dil ke iztirab ka hai is bahaar mein
kya be-qarar dil ki tasalli kare koi
kuchh bhi sabaat hai tere ahd-o-qarar mein
betab dil na dafn ho ai kash mere sath
rahne na dega lash koi din mazar mein
wo sang-dil na aaya bahut dekhi us ki rah
pathra chali hain aankhen meri intizar mein
thamta nahin hai rona 'alal-ittisal ka
kya iKHtiyar girya-e-be-iKHtiyar mein
marbut kaise kaise kahe reKHte wale
samjha na koi meri zaban is dayar mein
thi bazm-e-sher raat ko shair bahut the jama
do baaten hum ne aise na kin chaar chaar mein
dumbaala-gardi qais ne bahuteri ki wale
aaya nazar na mahmil-e-laila ghubar mein
ab zauq-e-said us ko nahin warna pesh-azin
udham tha wahsh-o-tair se us ke shikar mein
qaf
munh chahiye jo koi kisu se hisab le
na-kas se guftugu nahin roz-e-shumar mein
ginti ke logon ki wahan saf howegi khaDi
tu 'mir' kis shumar mein hai kis qatar mein
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 6, Ghazal No- 1856
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.