gardish mein we mast aankhen hain jaise bhare paimane do

gardish mein we mast aankhen hain jaise bhare paimane do
Meer Taqi Meer
MORE BYMeer Taqi Meer
gardish meñ ve mast āñkheñ haiñ jaise bhare paimāne do
daañt sunā hai jhamkeñ haiñ us ke motī ke se daane do
ḳhuub nahīñ ai sham.a kī ġhairat saath raheñ begāne do
kab farmān pe tere hue ye baazū ke parvāne do
aise bahāna-talab se ham bhī roz-guzārī karte haiñ
kab va.ade kī shab aa.ī jo un ne kiye na bahāne do
tīr-e-sitam us dushman-e-jāñ kā tā do kamāñ par ho na kahīñ
dil se aur jigar se apne ham ne rakheñ haiñ nishāne do
kis ko dimāġh rahā hai yaañ ab ziddeñ us kī uThāne kā
chaar pahar jab minnat kariye tab vo bāteñ maane do
ġham khāveñ yā ġhussa khāveñ yuuñ auqāt guzartī hai
qismat meñ kyā ḳhasta diloñ kī ye hī likhe the khāne do
ḳhāl-e-siyāh o ḳhatt-e-siyāh īmān-o-dil ke rahzan the
ik muddat meñ ham ne baare choTTe ye pahchāne do
ishq kī san.at mat pūchho juuñ nīche bhauoñ ke chashm-e-butāñ
dekhīñ jahāñ mehrābeñ un ne tarah kiye maiḳhāne do
rone se to phūTīñ āñkheñ dil ko ġhamoñ ne ḳharāb kiyā
dekhne qābil us ke hue haiñ ab to ye vīrāne do
dasht-o-koh meñ 'mīr' phiro tum lekin ek adab ke saath
koh-kan o majnūñ bhī the is nāhiye meñ dīvāne do
gardish mein we mast aankhen hain jaise bhare paimane do
dant suna hai jhamken hain us ke moti ke se dane do
KHub nahin ai shama ki ghairat sath rahen begane do
kab farman pe tere hue ye bazu ke parwane do
aise bahana-talab se hum bhi roz-guzari karte hain
kab wade ki shab aai jo un ne kiye na bahane do
tir-e-sitam us dushman-e-jaan ka ta do kaman par ho na kahin
dil se aur jigar se apne hum ne rakhen hain nishane do
kis ko dimagh raha hai yan ab zidden us ki uThane ka
chaar pahar jab minnat kariye tab wo baaten mane do
gham khawen ya ghussa khawen yun auqat guzarti hai
qismat mein kya KHasta dilon ki ye hi likhe the khane do
KHal-e-siyah o KHatt-e-siyah iman-o-dil ke rahzan the
ek muddat mein hum ne bare choTTe ye pahchane do
ishq ki sanat mat puchho jun niche bhauon ke chashm-e-butan
dekhin jahan mehraben un ne tarah kiye maiKHane do
rone se to phuTin aankhen dil ko ghamon ne KHarab kiya
dekhne qabil us ke hue hain ab to ye virane do
dasht-o-koh mein 'mir' phiro tum lekin ek adab ke sath
koh-kan o majnun bhi the is nahiye mein diwane do
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 3, Ghazal No- 1220
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.