garmi se aashiqi ki aaKHir ko ho raha kuchh
garmī se āshiqī kī āḳhir ko ho rahā kuchh
paanī huā hai kuchh to merā jigar jalā kuchh
āzurda-dil hazāroñ marte hī ham sune haiñ
bīmārī-e-dilī kī shāyad nahīñ davā kuchh
vārafta hai gulistāñ us rū-e-champa.ī kā
hai fasl-e-gul pe gul kā ab vo nahīñ maza kuchh
vo aarsī ke aage pahroñ hai be-takalluf
muñh se hamāre us ko aatī nahīñ hayā kuchh
dil hī ke ġham meñ guzre das din jo umr ke the
achraj hai is nagar se jaatā nahīñ dahā kuchh
muñh kar bhī merī jānib sotā nahīñ kabhū vo
kyā jānūñ us ke jī meñ hai is taraf se kyā kuchh
dil le faqīr kā bhī hāthoñ meñ dil-dahī kar
aa jaa.e hai jahāñ meñ aage liyā diyā kuchh
yāroñ kī āh-o-zārī hove qubūl kyūñkar
un kī zabāñ meñ kuchh hai dil meñ hai kuchh duā kuchh
saarī vahī haqīqat malhūz sab meñ rakhiye
kahiye numūd hove jo us ke mā-sivā kuchh
harf-o-suḳhan kī us se apnī majāl kyā hai
un ne kahā hai kyā kyā maiñ ne agar kahā kuchh
kab tak ye bad-sharābī piirī to 'mīr' aa.ī
jaane ke ho muhayyā ab kar chalo bhalā kuchh
garmi se aashiqi ki aaKHir ko ho raha kuchh
pani hua hai kuchh to mera jigar jala kuchh
aazurda-dil hazaron marte hi hum sune hain
bimari-e-dili ki shayad nahin dawa kuchh
warafta hai gulistan us ru-e-champai ka
hai fasl-e-gul pe gul ka ab wo nahin maza kuchh
wo aarsi ke aage pahron hai be-takalluf
munh se hamare us ko aati nahin haya kuchh
dil hi ke gham mein guzre das din jo umr ke the
achraj hai is nagar se jata nahin daha kuchh
munh kar bhi meri jaanib sota nahin kabhu wo
kya jaanun us ke ji mein hai is taraf se kya kuchh
dil le faqir ka bhi hathon mein dil-dahi kar
aa jae hai jahan mein aage liya diya kuchh
yaron ki aah-o-zari howe qubul kyunkar
un ki zaban mein kuchh hai dil mein hai kuchh dua kuchh
sari wahi haqiqat malhuz sab mein rakhiye
kahiye numud howe jo us ke ma-siwa kuchh
harf-o-suKHan ki us se apni majal kya hai
un ne kaha hai kya kya main ne agar kaha kuchh
kab tak ye bad-sharabi piri to 'mir' aai
jaane ke ho muhayya ab kar chalo bhala kuchh
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 4, Ghazal No- 1482
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.