go jaan kar tujhe sab tabir kar rahe hain
go jaan kar tujhe sab ta.abīr kar rahe haiñ
ham log tere uupar sau jī se mar rahe haiñ
khiñchtā chalā hai ab to tasdīq ko tasavvur
har lahza us ke jalve pesh-e-nazar rahe haiñ
nikle havas jo ab bhī ho vaar hī qafas se
shā.ista-e-parīdan do-chār par rahe haiñ
kal dekhte hamāre baste the ghar barābar
ab ye kahīñ kahīñ jo dīvār-o-dar rahe haiñ
kyā aaj DabDabā.ī dekho ho tum ye āñkheñ
juuñ chashma yūñhī barsoñ ham chashm-e-tar rahe haiñ
nai ġham hai ham ko yaañ kā nai fikr kuchh hai vaañ kā
sadqe junūñ ke kyā ham be-dard-e-sar rahe haiñ
paas ek din bhī apnā un ne nahīñ kiyā hai
ham duur us se be-dam do-do pahar rahe haiñ
kyā ye sarā-e-fānī hai jā-e-bāsh apnī
ham yaañ musāfirāna aakar utar rahe haiñ
aisā na ho ki chheḌe yakbār phuuT bahiye
ham pakke phoḌe ke ab mānind bhar rahe haiñ
is mai-kade meñ jis jā hushiyār chāhiye the
rahmat hai ham ko ham bhī kyā be-ḳhabar rahe haiñ
go rāh-e-ishq meñ ho shamshīr ke dam uupar
vasvās kyā hai ham to jī se guzar rahe haiñ
chal ham-nashīñ bane to ek aadh bait suniye
kahte haiñ baad muddat 'mīr' apne ghar rahe haiñ
go jaan kar tujhe sab tabir kar rahe hain
hum log tere upar sau ji se mar rahe hain
khinchta chala hai ab to tasdiq ko tasawwur
har lahza us ke jalwe pesh-e-nazar rahe hain
nikle hawas jo ab bhi ho war hi qafas se
shaista-e-paridan do-chaar par rahe hain
kal dekhte hamare baste the ghar barabar
ab ye kahin kahin jo diwar-o-dar rahe hain
kya aaj DabDabai dekho ho tum ye aankhen
jun chashma yunhi barson hum chashm-e-tar rahe hain
nai gham hai hum ko yan ka nai fikr kuchh hai wan ka
sadqe junun ke kya hum be-dard-e-sar rahe hain
pas ek din bhi apna un ne nahin kiya hai
hum dur us se be-dam do-do pahar rahe hain
kya ye sara-e-fani hai ja-e-bash apni
hum yan musafirana aakar utar rahe hain
aisa na ho ki chheDe yakbar phuT bahiye
hum pakke phoDe ke ab manind bhar rahe hain
is mai-kade mein jis ja hushiyar chahiye the
rahmat hai hum ko hum bhi kya be-KHabar rahe hain
go rah-e-ishq mein ho shamshir ke dam upar
waswas kya hai hum to ji se guzar rahe hain
chal ham-nashin bane to ek aadh bait suniye
kahte hain baad muddat 'mir' apne ghar rahe hain
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 2, Ghazal No- 0891
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.