go ki but-KHane ja raha hun main
go ki but-ḳhāne jā rahā huuñ maiñ
ba-ḳhudā bā-ḳhudā rahā huuñ maiñ
sab ga.e dil-dimāġh tāb-o-tavāñ
maiñ rahā huuñ so kyā rahā huuñ maiñ
barq to maiñ na thā ki jal bujhtā
abr-e-tar huuñ ki chhā rahā huuñ maiñ
us kī begāna-vaza.ī hai ma.alūm
barsoñ tak āshnā rahā huuñ maiñ
dekho kab teġh us kī aa baiThe
der se sar uThā rahā huuñ maiñ
us kī gard-e-samand kā mushtāq
āñkheñ har-sū lagā rahā huuñ maiñ
duur ke log jin ne maare qarīb
us ke hamsā.e aa rahā huuñ maiñ
mujh ko bad-hāl rahne deñ ai kaash
be-davā kuchh bhulā rahā huuñ maiñ
dil-jaloñ ko ḳhudā jahāñ meñ rakhe
yā shaqā.iq hai yā rahā huuñ maiñ
kuchh rahā hī nahīñ hai mujh meñ 'mīr'
jab se un se judā rahā huuñ maiñ
go ki but-KHane ja raha hun main
ba-KHuda ba-KHuda raha hun main
sab gae dil-dimagh tab-o-tawan
main raha hun so kya raha hun main
barq to main na tha ki jal bujhta
abr-e-tar hun ki chha raha hun main
us ki begana-wazai hai malum
barson tak aashna raha hun main
dekho kab tegh us ki aa baiThe
der se sar uTha raha hun main
us ki gard-e-samand ka mushtaq
aankhen har-su laga raha hun main
dur ke log jin ne mare qarib
us ke hamsae aa raha hun main
mujh ko bad-haal rahne den ai kash
be-dawa kuchh bhula raha hun main
dil-jalon ko KHuda jahan mein rakhe
ya shaqaiq hai ya raha hun main
kuchh raha hi nahin hai mujh mein 'mir'
jab se un se juda raha hun main
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 6, Ghazal No- 1857
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.