gul-gasht ki hawas thi so-to ba-gir aae
gul-gasht kī havas thī so-to ba-gīr aa.e
aa.e jo ham chaman meñ ho kar asiir aa.e
fursat meñ yak-nafas kī kyā dard-e-dil sunoge
aa.e to tum va-lekin vaqt-e-aḳhīr aa.e
dillī meñ ab ke aa kar un yāroñ ko na dekhā
kuchh ve ga.e shitābī kuchh ham bhī der aa.e
kyā ḳhūbī is chaman kī mauqūf hai kisū par
gul gar ga.e adam ko mukhḌe nazīr aa.e
shikva nahīñ jo us ko parvā na ho hamārī
darvāze jis ke ham se kitne faqīr aa.e
umr-e-darāz kyūñkar muḳhtār-e-ḳhizr hai yaañ
ek-ādh din meñ ham to jiine se sair aa.e
nazdīk thī qafas meñ parvāz-e-rūh apnī
ġhunche ho gulbunoñ par jab ham-safīr aa.e
yuuñ baiThe baiThe nāgah gardan lage hilāne
sar shaiḳh jī ke goyā majlis meñ piir aa.e
qāmat ḳhamīda apnī jaise kamāñ thī lekin
qurbāñ-gah-e-vafā meñ mānind-e-tīr aa.e
bin jī diye nahīñ hai imkān yaañ se jaanā
bismil-gah-e-jahāñ meñ ab ham to 'mīr' aa.e
gul-gasht ki hawas thi so-to ba-gir aae
aae jo hum chaman mein ho kar asir aae
fursat mein yak-nafas ki kya dard-e-dil sunoge
aae to tum wa-lekin waqt-e-aKHir aae
dilli mein ab ke aa kar un yaron ko na dekha
kuchh we gae shitabi kuchh hum bhi der aae
kya KHubi is chaman ki mauquf hai kisu par
gul gar gae adam ko mukhDe nazir aae
shikwa nahin jo us ko parwa na ho hamari
darwaze jis ke hum se kitne faqir aae
umr-e-daraaz kyunkar muKHtar-e-KHizr hai yan
ek-adh din mein hum to jine se sair aae
nazdik thi qafas mein parwaz-e-ruh apni
ghunche ho gulbunon par jab ham-safir aae
yun baiThe baiThe nagah gardan lage hilane
sar shaiKH ji ke goya majlis mein pir aae
qamat KHamida apni jaise kaman thi lekin
qurban-gah-e-wafa mein manind-e-tir aae
bin ji diye nahin hai imkan yan se jaana
bismil-gah-e-jahan mein ab hum to 'mir' aae
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0474
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.