guzar-e-KHush-nigahan jis mein hai mera bayaban hai
guzār-e-ḳhush-nigāhāñ jis meñ hai merā bayābāñ hai
savād-e-barr-e-majnūñ to charāgāh-e-ġhazālāñ hai
kare hai ḳhanda-e-dandāñ-numā to maiñ bhī ro.ūñgā
chamaktī zor hai bijlī muqarrar aaj bārāñ hai
chaman par nauha-o-zārī se kis gul kā ye mātam hai
jo shabnam hai to giryāñ hai jo bulbul hai to nālāñ hai
har ik mizhgāñ pe merī ashk ke qatre jhamakte haiñ
tamāshā muft ḳhūbāñ hai lab-e-dariyā charāġhāñ hai
kiyā thā jā-ba-jā rangīñ lahū tujh hijr meñ ro kar
garebāñ 'mīr' kā dekhā magar gulchīñ kā dāmāñ hai
guzar-e-KHush-nigahan jis mein hai mera bayaban hai
sawad-e-barr-e-majnun to charagah-e-ghazalan hai
kare hai KHanda-e-dandan-numa to main bhi rounga
chamakti zor hai bijli muqarrar aaj baran hai
chaman par nauha-o-zari se kis gul ka ye matam hai
jo shabnam hai to giryan hai jo bulbul hai to nalan hai
har ek mizhgan pe meri ashk ke qatre jhamakte hain
tamasha muft KHuban hai lab-e-dariya charaghan hai
kiya tha ja-ba-ja rangin lahu tujh hijr mein ro kar
gareban 'mir' ka dekha magar gulchin ka daman hai
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0512
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.