hai ishq mein sabr nagawara
hai ishq meñ sabr nāgavārā
phir sabr bin aur kyā hai chārā
un bāloñ se mushk mat ḳhajil ho
ambar to araq araq hai saarā
yuuñ baat kare hai mere ḳhuuñ se
goyā nahīñ un ne mujh ko maarā
dekho ho to duur bhāgte ho
kuchh paas nahīñ tumheñ hamārā
thā kis ko dimāġh-e-bāġh us bin
bulbul ne bahut mujhe pukārā
ruḳhsār ke paas vo dar-e-gosh
hai pahlū-e-māh meñ sitārā
hote haiñ farishte said aa kar
āhū-e-haram haiñ yaañ chikārā
phūlī mujhe dekh kar guloñ meñ
bulbul kā hai baaġh meñ ijārā
jab jī se guzar ga.e ham ai 'mīr'
us kūche meñ tab huā guzāra
hai ishq mein sabr nagawara
phir sabr bin aur kya hai chaara
un baalon se mushk mat KHajil ho
ambar to araq araq hai sara
yun baat kare hai mere KHun se
goya nahin un ne mujh ko mara
dekho ho to dur bhagte ho
kuchh pas nahin tumhein hamara
tha kis ko dimagh-e-bagh us bin
bulbul ne bahut mujhe pukara
ruKHsar ke pas wo dar-e-gosh
hai pahlu-e-mah mein sitara
hote hain farishte said aa kar
aahu-e-haram hain yan chikara
phuli mujhe dekh kar gulon mein
bulbul ka hai bagh mein ijara
jab ji se guzar gae hum ai 'mir'
us kuche mein tab hua guzara
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 3, Ghazal No- 1092
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.