hai jumbish-e-lab mushkil jab aan ke wah baiThe
hai jumbish-e-lab mushkil jab aan ke vah baiThe
jo chāheñ so yuuñ kah leñ log apnī jagah baiThe
jī Duub ga.e apne andoh ke dariyā meñ
ve josh kahāñ ab ham muddat huī vah baiThe
kyā rang meñ shoḳhī hai us ke tan-e-nāzuk kī
pairāhan agar pahne to us pe bhī tah baiThe
sar gul ne uThāyā thā is baaġh meñ so dekhā
kyā naaz se yaañ koī kaj kar ke kulah baiThe
marte hue par chāhat zāhir na kī agloñ ne
be-hausla the ham jo is raaz ko kah baiThe
kyā jaane ki īdhar kā kab qasd karegā vo
pāmāl hue ham to us se sar-e-rah baiThe
jo haath chaḌhā us ke dil ḳhuuñ hī kiyā us kā
us panja-e-rañgīñ kī ai 'mīr' na gah baiThe
hai jumbish-e-lab mushkil jab aan ke wah baiThe
jo chahen so yun kah len log apni jagah baiThe
ji Dub gae apne andoh ke dariya mein
we josh kahan ab hum muddat hui wah baiThe
kya rang mein shoKHi hai us ke tan-e-nazuk ki
pairahan agar pahne to us pe bhi tah baiThe
sar gul ne uThaya tha is bagh mein so dekha
kya naz se yan koi kaj kar ke kulah baiThe
marte hue par chahat zahir na ki aglon ne
be-hausla the hum jo is raaz ko kah baiThe
kya jaane ki idhar ka kab qasd karega wo
pamal hue hum to us se sar-e-rah baiThe
jo hath chaDha us ke dil KHun hi kiya us ka
us panja-e-rangin ki ai 'mir' na gah baiThe
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 2, Ghazal No- 1008
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.