hai mere lohu rone ka aasar sa hanuz
hai mere lohū rone kā āsār sā hanūz
kūcha koī koī hai chaman-zār sā hanūz
kab tak ḳhiñchegī sub.h qayāmat kī shaam ko
arse meñ maiñ khaḌā huuñ gunahgār sā hanūz
muddat huī ki ḳhuun jigar meñ nahīñ vale
jaatā hai āñsuoñ kā chalā taar sā hanūz
saaya sā aa gayā thā nazar us kā ek din
mab.hūt maiñ phirūñ huuñ parī-dār sā hanūz
barsoñ se gul chaman meñ nikalte haiñ rang rang
niklā nahīñ hai ek ruḳh-e-yār sā hanūz
dekhā thā ḳhāna-bāġh meñ phirte use kahīñ
gul hairatī hai sūrat-e-dīvār sā hanūz
muddat se tark-e-ishq kiyā 'mīr' ne vale
zār-o-zabūn-o-zard hai bīmār sā hanūz
hai mere lohu rone ka aasar sa hanuz
kucha koi koi hai chaman-zar sa hanuz
kab tak KHinchegi subh qayamat ki sham ko
arse mein main khaDa hun gunahgar sa hanuz
muddat hui ki KHun jigar mein nahin wale
jata hai aansuon ka chala tar sa hanuz
saya sa aa gaya tha nazar us ka ek din
mabhut main phirun hun pari-dar sa hanuz
barson se gul chaman mein nikalte hain rang rang
nikla nahin hai ek ruKH-e-yar sa hanuz
dekha tha KHana-bagh mein phirte use kahin
gul hairati hai surat-e-diwar sa hanuz
muddat se tark-e-ishq kiya 'mir' ne wale
zar-o-zabun-o-zard hai bimar sa hanuz
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 2, Ghazal No- 0819
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.