hum mast ho bhi dekha aaKHir maza nahin hai
ham mast ho bhī dekhā āḳhir maza nahīñ hai
hushyārī ke barābar koī nasha nahīñ hai
shauq-e-visāl hī meñ jī khap gayā hamārā
bā-āñki ek dam vo ham se judā nahīñ hai
har sub.h uTh ke tujh se māñgūñ huuñ maiñ tujhī ko
tere sivā.e merā kuchh mudda'ā nahīñ hai
zer-e-falak rukā hai ab jī bahut hamārā
is be-fazā qafas meñ mutlaq havā nahīñ hai
āñkheñ hamārī dekhīñ logoñ ne ashk-afshāñ
ab chaah kā kisū kī parda rahā nahīñ hai
muñh jin ne merā dekhā ek aah dil se khīñchī
is dard-e-'āshiqī kī aayā davā nahīñ hai
thiiñ pesh-az āshnā.ī kyā āshnā nigāheñ
ab āshnā hue par aañkh āshnā nahīñ hai
kariye jo ibtidā to tā-hashr haal kahiye
'āshiq kī guftugū ko kuchh intihā nahīñ hai
parda hī ham ne dekhā chehre pe gāh-o-be-gah
itnā bhī muñh chhupānā kuchh ḳhushnumā nahīñ hai
maiñ ro.uuñ tum hañso ho kyā jaano 'mīr' sāhab
dil aap kā kisū se shāyad lagā nahīñ hai
hum mast ho bhi dekha aaKHir maza nahin hai
hushyari ke barabar koi nasha nahin hai
shauq-e-visal hi mein ji khap gaya hamara
ba-anki ek dam wo hum se juda nahin hai
har subh uTh ke tujh se mangun hun main tujhi ko
tere siwae mera kuchh mudda'a nahin hai
zer-e-falak ruka hai ab ji bahut hamara
is be-faza qafas mein mutlaq hawa nahin hai
aankhen hamari dekhin logon ne ashk-afshan
ab chah ka kisu ki parda raha nahin hai
munh jin ne mera dekha ek aah dil se khinchi
is dard-e-'ashiqi ki aaya dawa nahin hai
thin pesh-az aashnai kya aashna nigahen
ab aashna hue par aankh aashna nahin hai
kariye jo ibtida to ta-hashr haal kahiye
'ashiq ki guftugu ko kuchh intiha nahin hai
parda hi hum ne dekha chehre pe gah-o-be-gah
itna bhi munh chhupana kuchh KHushnuma nahin hai
main roun tum hanso ho kya jaano 'mir' sahab
dil aap ka kisu se shayad laga nahin hai
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 2, Ghazal No- 1040
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.