hum na kaha karte the tum se dil na kisu se lagao tum
ham na kahā karte the tum se dil na kisū se lagāo tum
jī denā paḌtā hai is meñ aisā na ho pachhtāo tum
so na sunī tum ne to hamārī āñkheñ lagū haiñ lag paḌiyāñ
ro ro kar sar dhunte ho ab baiThe ranj uThāo tum
sabr kahāñ jo taskīñ hove betābi se chain kahāñ
ek ghaḌī meñ sau sau baarī ūdhar īdhar jaao tum
ḳhvāhish-e-dil hai chaah kisū kī yahī sabab hai kāhish kā
nāhaq nāhaq kyoñ kahte ho haq kī taraf dil laao tum
har kūche meñ khaḌe rah rah kar idhar ūdhar dekho ho
haa.e ḳhayāl ye kyā hai tum ko jaane bhī do ab aao tum
faash na kariye rāz-e-mohabbat jāneñ is meñ jaatī haiñ
dard-e-dil āñkhoñ se har-yak ke tā-maqdūr chhupāo tum
qadr-o-qīmat is se ziyāda 'mīr' tumhārī kyā hogī
jis ke ḳhvāhāñ donoñ jahāñ haiñ us ke haath bikāo tum
hum na kaha karte the tum se dil na kisu se lagao tum
ji dena paDta hai is mein aisa na ho pachhtao tum
so na suni tum ne to hamari aankhen lagu hain lag paDiyan
ro ro kar sar dhunte ho ab baiThe ranj uThao tum
sabr kahan jo taskin howe betabi se chain kahan
ek ghaDi mein sau sau bari udhar idhar jao tum
KHwahish-e-dil hai chah kisu ki yahi sabab hai kahish ka
nahaq nahaq kyon kahte ho haq ki taraf dil lao tum
har kuche mein khaDe rah rah kar idhar udhar dekho ho
hae KHayal ye kya hai tum ko jaane bhi do ab aao tum
fash na kariye raaz-e-mohabbat jaanen is mein jati hain
dard-e-dil aankhon se har-yak ke ta-maqdur chhupao tum
qadr-o-qimat is se ziyaada 'mir' tumhaari kya hogi
jis ke KHwahan donon jahan hain us ke hath bikao tum
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 5, Ghazal No- 1683
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.