hum na kahte the rahega hum mein kya yan se gae
ham na kahte the rahegā ham meñ kyā yaañ se ga.e
so hī baat aa.ī uThe us paas se jaañ se ga.e
kyā ba-ḳhud rahnā hamārā kuchh rakhe hai e.atibār
aap meñ aa.e kabhū ab ham to mehmāñ se ga.e
jab talak rahnā banā dil-tang ġhunche se rahe
dekhiye kyā gul khilegā ab gulistāñ se ga.e
kyā ġhazāloñ hī ko ham bin vahshat-e-bisyār hai
koh bhī nālāñ rahe jab ham bayābāñ se ga.e
laa.ī aafat ḳhānqāh-o-masjid uupar vo nigāh
sūfiyāñ diiñ se ga.e sab shaiḳh īmāñ se ga.e
duur kar ḳhat ko kiyā chehra kitābī un ne saaf
ab qayāmat hai ki saare harf qur.āñ se ga.e
jī to us kī zulf meñ dil kākul-e-pechāñ meñ 'mīr'
jā bhī nikle us kane to ham pareshāñ se ga.e
hum na kahte the rahega hum mein kya yan se gae
so hi baat aai uThe us pas se jaan se gae
kya ba-KHud rahna hamara kuchh rakhe hai eatibar
aap mein aae kabhu ab hum to mehman se gae
jab talak rahna bana dil-tang ghunche se rahe
dekhiye kya gul khilega ab gulistan se gae
kya ghazalon hi ko hum bin wahshat-e-bisyar hai
koh bhi nalan rahe jab hum bayaban se gae
lai aafat KHanqah-o-masjid upar wo nigah
sufiyan din se gae sab shaiKH iman se gae
dur kar KHat ko kiya chehra kitabi un ne saf
ab qayamat hai ki sare harf quran se gae
ji to us ki zulf mein dil kakul-e-pechan mein 'mir'
ja bhi nikle us kane to hum pareshan se gae
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 2, Ghazal No- 1013
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.