humse kyon uljha kare hai aa samajh ai na-samajh
ham se kyoñ uljhā kare hai aa samajh ai nā-samajh
kaj-tabī.at jo muḳhālif haiñ unhoñ se jā samajh
yaar kī un bholī bātoñ par na jā ai ham-nashīñ
ek fitna hai vo us ko aah mat laḌkā samajh
ḳhūb-rū ushshāq se bad pesh aate hī sune
garche ḳhush-zāhir haiñ ye par in ko mat achchhā samajh
bāġhbāñ be-rahm gul be-dīd mausam bevafā
āshiyāñ is baaġh meñ bulbul ne bāñdhā kyā samajh
maiñ jo narmī kī to duunā sar chaḌhā vo bad-ma.āsh
khāne hī ko dauḌtā hai ab mujhe halva samajh
duur se dekhī jo bad-halī vahīñ se Tal gayā
do qadam aage na aaya mujh ko vo martā samajh
'mīr' kī ayyāriyāñ ma.alūm laḌkoñ ko nahīñ
karte haiñ kyā kyā adā.eñ is ko saada sā samajh
hum se kyon uljha kare hai aa samajh ai na-samajh
kaj-tabiat jo muKHalif hain unhon se ja samajh
yar ki un bholi baaton par na ja ai ham-nashin
ek fitna hai wo us ko aah mat laDka samajh
KHub-ru ushshaq se bad pesh aate hi sune
garche KHush-zahir hain ye par in ko mat achchha samajh
baghban be-rahm gul be-did mausam bewafa
aashiyan is bagh mein bulbul ne bandha kya samajh
main jo narmi ki to duna sar chaDha wo bad-maash
khane hi ko dauDta hai ab mujhe halwa samajh
dur se dekhi jo bad-hali wahin se Tal gaya
do qadam aage na aaya mujh ko wo marta samajh
'mir' ki ayyariyan malum laDkon ko nahin
karte hain kya kya adaen is ko sada sa samajh
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 2, Ghazal No- 0942
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.