humse to tumko zid si paDi hai KHwah-naKHwah rulate ho
ham se to tum ko zid sī paḌī hai ḳhvāh-naḳhvāh rulāte ho
aañkh uThā kar jab dekhe haiñ auroñ meñ hañste jaate ho
jab milne kā savāl karūñ huuñ zulf-o-ruḳh dikhlāte ho
barsoñ mujh ko yūñhī guzre sub.h-o-shām batāte ho
bikhrī rahīñ haiñ muñh par zulfeñ aañkh nahīñ khul saktī hai
kyūñke chhupe mai-ḳhvārī-e-shab jab aise raat ke maate ho
sarv tah-o-bālā hotā hai darham-barham shāḳh-e-gul
naaz se qad-kash ho ke chaman meñ ek balā tum laate ho
sub.h se yaañ phir jān-o-dil par roz qayāmat rahtī hai
raat kabhū aa rahte ho to ye din ham ko dikhlāte ho
jin ne tum ko na dekhā hove us se āñkheñ maaro tum
ek nigāh-e-muftin kar tum sau sau fitne uThāte ho
chashm to hai ik diid kī jā par kab taklīf ke laa.eq hai
dil jo hai dilchasp makāñ tum is meñ kab kab aate ho
rāhat pahuñchī Tuk tum se to ranj uThāyā barsoñ tak
sar sahlāte ho jo kabhū to bhejā bhī khā jaate ho
ho ke gadā-e-kū-e-mohabbat zor sadā ye nikālī hai
ab to 'mīr' jī rātoñ ko tum har dar par chillāte ho
hum se to tum ko zid si paDi hai KHwah-naKHwah rulate ho
aankh uTha kar jab dekhe hain auron mein hanste jate ho
jab milne ka sawal karun hun zulf-o-ruKH dikhlate ho
barson mujh ko yunhi guzre subh-o-sham batate ho
bikhri rahin hain munh par zulfen aankh nahin khul sakti hai
kyunke chhupe mai-KHwari-e-shab jab aise raat ke mate ho
sarw tah-o-baala hota hai darham-barham shaKH-e-gul
naz se qad-kash ho ke chaman mein ek bala tum late ho
subh se yan phir jaan-o-dil par roz qayamat rahti hai
raat kabhu aa rahte ho to ye din hum ko dikhlate ho
jin ne tum ko na dekha howe us se aankhen maro tum
ek nigah-e-muftin kar tum sau sau fitne uThate ho
chashm to hai ek did ki ja par kab taklif ke laeq hai
dil jo hai dilchasp makan tum is mein kab kab aate ho
rahat pahunchi Tuk tum se to ranj uThaya barson tak
sar sahlate ho jo kabhu to bheja bhi kha jate ho
ho ke gada-e-ku-e-mohabbat zor sada ye nikali hai
ab to 'mir' ji raaton ko tum har dar par chillate ho
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0391
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.