hum to yahi kahte the hamesha dil ko kahin na lagao tum

hum to yahi kahte the hamesha dil ko kahin na lagao tum
Meer Taqi Meer
MORE BYMeer Taqi Meer
ham to yahī kahte the hamesha dil ko kahīñ na lagāo tum
kyā kahiye na hamārī sunī ab baiThe ranj uThāo tum
jhuuT kahā kyā ham ne is meñ taur jo is se zāhir hai
haath chale to āshiq-e-zār ko ḳhāk-o-ḳhūñ meñ luTāo tum
sabr karo betāb raho ḳhāmosh phiro yā shor karo
kis ko yaañ parvā hai kisū kī Thahro aao jaao tum
naaz ġhurūr tabaḳhtur saarā phūloñ par hai chaman kā so
kyā mirzā.ī lāla-o-gul kī kuchh ḳhātir meñ na laao tum
vaa.e ki us hijrāñ-kushte ne baaġh se jaate Tuk na sunā
gul ne kahā jo ḳhūbī se apnī kuchh to hameñ farmāo tum
dast-o-pā bahutere maare sar bhī phoḌe hairat hai
kyā kariye jo be-dast-o-pā ham suuñ ke haath aao tum
ġham meñ tumhārī sūrat-e-ḳhush ke saiñkaḌoñ shakleñ go bigḌeñ
baiThe nāz-o-ġhurūr se bikhre baal apne na banāo tum
dar pe haram ke kushūd nahīñ to der meñ jā kar kāfir ho
qashqa khīñcho pothī paḌho zunnār gale se bañdhāo tum
būd-nabūd sabāt rakhe to ye bhī ik bābat hai 'mīr'
is safhe meñ harf-e-ġhalat haiñ kāshke ham ko miTāo tum
hum to yahi kahte the hamesha dil ko kahin na lagao tum
kya kahiye na hamari suni ab baiThe ranj uThao tum
jhuT kaha kya hum ne is mein taur jo is se zahir hai
hath chale to aashiq-e-zar ko KHak-o-KHun mein luTao tum
sabr karo betab raho KHamosh phiro ya shor karo
kis ko yan parwa hai kisu ki Thahro aao jao tum
naz ghurur tabaKHtur sara phulon par hai chaman ka so
kya mirzai lala-o-gul ki kuchh KHatir mein na lao tum
wae ki us hijran-kushte ne bagh se jate Tuk na suna
gul ne kaha jo KHubi se apni kuchh to hamein farmao tum
dast-o-pa bahutere mare sar bhi phoDe hairat hai
kya kariye jo be-dast-o-pa hum sun ke hath aao tum
gham mein tumhaari surat-e-KHush ke sainkaDon shaklen go bigDen
baiThe naz-o-ghurur se bikhre baal apne na banao tum
dar pe haram ke kushud nahin to der mein ja kar kafir ho
qashqa khincho pothi paDho zunnar gale se bandhao tum
bud-nabud sabaat rakhe to ye bhi ek babat hai 'mir'
is safhe mein harf-e-ghalat hain kashke hum ko miTao tum
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 5, Ghazal No- 1679
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.