har dam wo shoKH dast-ba-shamshir kyon na ho
har dam vo shoḳh dast-ba-shamshīr kyoñ na ho
kuchh ham ne kī hai aisī hī taqsīr kyoñ na ho
ab to jigar ko ham ne balā kā hadaf kiyā
andāz us nigāh kā phir tiir kyoñ na ho
jaatā to hai kahīñ ko tū ai kārvān-e-misr
kan’āñ hī kī taraf ko ye shab-gīr kyoñ na ho
hairāñ haiñ is qadar ki agar ab ke jā.iye
phir muñh tirā na dekhiye tasvīr kyoñ na ho
tū ne to rafta rafta kiyā ham ko nang-e-ḳhalq
vahshat dilā kahāñ ta.iiñ zanjīr kyoñ na ho
juuñ gul kisū shagufta-tabī'at kā hai nishāñ
ġhuncha bhī koī ḳhātir-e-dil-gīr kyoñ na ho
hove hazār vahshat use to bhī yaar hai
aġhyār tere saath jo hoñ 'mīr' kyoñ na ho
har dam wo shoKH dast-ba-shamshir kyon na ho
kuchh hum ne ki hai aisi hi taqsir kyon na ho
ab to jigar ko hum ne bala ka hadaf kiya
andaz us nigah ka phir tir kyon na ho
jata to hai kahin ko tu ai karwan-e-misr
kan’an hi ki taraf ko ye shab-gir kyon na ho
hairan hain is qadar ki agar ab ke jaiye
phir munh tera na dekhiye taswir kyon na ho
tu ne to rafta rafta kiya hum ko nang-e-KHalq
wahshat dila kahan tain zanjir kyon na ho
jun gul kisu shagufta-tabi'at ka hai nishan
ghuncha bhi koi KHatir-e-dil-gir kyon na ho
howe hazar wahshat use to bhi yar hai
aghyar tere sath jo hon 'mir' kyon na ho
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0399
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.