haram ko jaiye ya dair mein basar kariye
haram ko jā.iye yā dair meñ basar kariye
tirī talāsh meñ ik dil kidhar kidhar kariye
kaTe hai dekhiye yuuñ umr kab talak apnī
ki suniye naam tirā aur chashm-e-tar kariye
vo mast-e-nāz to machlā hai kyā jatā.iye haal
jo be-ḳhabar ho bhalā us ke tiiñ ḳhabar kariye
huā hai din to judā.ī kā sau ta.ab se shaam
shab-e-firāq kis ummīd par sahar kariye
jahāñ kā diid ba-juz mātam-e-nazāra nahīñ
ki dīdanī hī nahīñ jis pe yaañ nazar kariye
jiyoñ se jaate haiñ nā-chār aah kyā kyā log
kabhū to jānib-e-ushshāq bhī guzar kariye
sitam uThāne kī tāqat nahīñ hai ab is ko
jo dil meñ aave to Tuk rahm 'mīr' par kariye
haram ko jaiye ya dair mein basar kariye
teri talash mein ek dil kidhar kidhar kariye
kaTe hai dekhiye yun umr kab talak apni
ki suniye nam tera aur chashm-e-tar kariye
wo mast-e-naz to machla hai kya jataiye haal
jo be-KHabar ho bhala us ke tin KHabar kariye
hua hai din to judai ka sau tab se sham
shab-e-firaq kis ummid par sahar kariye
jahan ka did ba-juz matam-e-nazara nahin
ki didani hi nahin jis pe yan nazar kariye
jiyon se jate hain na-chaar aah kya kya log
kabhu to jaanib-e-ushshaq bhi guzar kariye
sitam uThane ki taqat nahin hai ab is ko
jo dil mein aawe to Tuk rahm 'mir' par kariye
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0514
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.