is rang se jo zard zubun zar hain hum log
is rang se jo zard zubūñ zaar haiñ ham log
dil ke maraz-e-‘ishq se bīmār haiñ ham log
kyā apne ta.iiñ pastī bulandī se jahāñ kī
ab ḳhaak barābar hue hamvār haiñ ham log
maqsūd to hāsil hai talab shart paḌī hai
vo matlab-e-‘umda hai talabgār haiñ ham log
ḳhūñ-rez hī laḌkoñ se laḌā rahte haiñ āñkheñ
gar qatl kareñ ham ko sazā-vār haiñ ham log
dil phañs rahe haiñ daam meñ zulfoñ ke kisū kī
tang apne jiyoñ se haiñ giraftār haiñ ham log
bāzār kī bhī jins pe jī dete haiñ 'āshiq
sar bechte phirte haiñ ḳharīdār haiñ ham log
in pariyoñ se laḌkoñ hī ke jhapTe meñ dil aa.e
be-hosh-o-ḳhirad jaise parī-dār haiñ ham log
dar par kisū ke jā ke khaḌe hoñ to khaḌe haiñ
hairat-zada-e-‘ishq haiñ dīvār haiñ ham log
jaate haiñ chale qāfla-dar-qāfla us raah
chalne meñ taraddud nahīñ tayyār haiñ ham log
maare hī paḌeñ kuchh kaheñ 'ushshāq to shāyad
hairat se haiñ chup tis pe gunahgār haiñ ham log
go nīchī nazar 'mīr' kī ho āñkheñ to Tuk dekh
kyā dil-zadagāñ saada meñ purkār haiñ ham log
is rang se jo zard zubun zar hain hum log
dil ke maraz-e-‘ishq se bimar hain hum log
kya apne tain pasti bulandi se jahan ki
ab KHak barabar hue hamwar hain hum log
maqsud to hasil hai talab shart paDi hai
wo matlab-e-‘umda hai talabgar hain hum log
KHun-rez hi laDkon se laDa rahte hain aankhen
gar qatl karen hum ko saza-war hain hum log
dil phans rahe hain dam mein zulfon ke kisu ki
tang apne jiyon se hain giraftar hain hum log
bazar ki bhi jins pe ji dete hain 'ashiq
sar bechte phirte hain KHaridar hain hum log
in pariyon se laDkon hi ke jhapTe mein dil aae
be-hosh-o-KHirad jaise pari-dar hain hum log
dar par kisu ke ja ke khaDe hon to khaDe hain
hairat-zada-e-‘ishq hain diwar hain hum log
jate hain chale qafla-dar-qafla us rah
chalne mein taraddud nahin tayyar hain hum log
mare hi paDen kuchh kahen 'ushshaq to shayad
hairat se hain chup tis pe gunahgar hain hum log
go nichi nazar 'mir' ki ho aankhen to Tuk dekh
kya dil-zadagan sada mein purkar hain hum log
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 4, Ghazal No- 1422
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.