ishq mein humne jaan-kani ki hai
ishq meñ ham ne jāñ-kanī kī hai
kyā mohabbat ne dushmanī kī hai
kaisī surḳh-o-safed niklī thī
mai magar duḳhtar armanī kī hai
bed sā kyoñ na suukh jā.ūñ maiñ
der majnūñ se ham-fanī kī hai
us pareshān ko nishāna kar
yaar ne jam.a-afganī kī hai
kar diyā ḳhaak āsmāñ ne hameñ
ye bhī himmat isī danī kī hai
takiya vīrāñ faqīr kā bhī ho
yaañ ḳharābī bahut ġhanī kī hai
qāfila luT gayā jo aañsū kā
ishq ne 'mīr' rahzanī kī hai
ishq mein hum ne jaan-kani ki hai
kya mohabbat ne dushmani ki hai
kaisi surKH-o-safed nikli thi
mai magar duKHtar armani ki hai
bed sa kyon na sukh jaun main
der majnun se ham-fani ki hai
us pareshan ko nishana kar
yar ne jama-afgani ki hai
kar diya KHak aasman ne hamein
ye bhi himmat isi dani ki hai
takiya viran faqir ka bhi ho
yan KHarabi bahut ghani ki hai
qafila luT gaya jo aansu ka
ishq ne 'mir' rahzani ki hai
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 6, Ghazal No- 1877
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.