ishq ne hum ko mar rakha hai ji mein apne tab nahin
'ishq ne ham ko maar rakhā hai jī meñ apne taab nahīñ
dil ko ḳhayāl-e-sabr nahīñ āñkhoñ ko mail-e-ḳhvāb nahīñ
koī sabab aisā ho yārab jis se 'izzat rah jaave
'ālam meñ asbāb ke haiñ par paas apne asbāb nahīñ
qaht nahīñ hai dil kā ab man maare tum kyoñ phirte ho
lene vaalā chāhiye is kā aisā to kamyāb nahīñ
ḳhat kā javāb na likhne kī kuchh vaj.h na zāhir ham pe huī
der talak qāsid se pūchhā muñh meñ us ke javāb nahīñ
ronā roz-e-shumār kā mujh ko aaTh pahar ab rahtā hai
yā'nī mere gunāhoñ ko kuchh hasr-o-hadd-o-hisāb nahīñ
rang shikasta dil hai shikasta sar hai shikasta mastī meñ
haal kisū kā apnā sā is maiḳhāne meñ ḳharāb nahīñ
Thahreñ 'mīr' kisū jāgah ham dil ko qarār jo Tuk aave
ho ke faqīr us dar par baiTheñ is ke bhī ham baab nahīñ
'ishq ne hum ko mar rakha hai ji mein apne tab nahin
dil ko KHayal-e-sabr nahin aankhon ko mail-e-KHwab nahin
koi sabab aisa ho yarab jis se 'izzat rah jawe
'alam mein asbab ke hain par pas apne asbab nahin
qaht nahin hai dil ka ab man mare tum kyon phirte ho
lene wala chahiye is ka aisa to kamyab nahin
KHat ka jawab na likhne ki kuchh wajh na zahir hum pe hui
der talak qasid se puchha munh mein us ke jawab nahin
rona roz-e-shumar ka mujh ko aaTh pahar ab rahta hai
ya'ni mere gunahon ko kuchh hasr-o-hadd-o-hisab nahin
rang shikasta dil hai shikasta sar hai shikasta masti mein
haal kisu ka apna sa is maiKHane mein KHarab nahin
Thahren 'mir' kisu jagah hum dil ko qarar jo Tuk aawe
ho ke faqir us dar par baiThen is ke bhi hum bab nahin
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 5, Ghazal No- 1694
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.