itna kaha na humse tumne kabhu ki aao
itnā kahā na ham se tum ne kabhū ki aao
kaahe ko yuuñ khaḌe ho vahshī se baiTh jaao
ye chāñd ke se TukḌe chhupte nahīñ chhupā.e
har chand apne muñh ko burqe meñ tum chhupāo
do-chār tiir yaaro is se bhalī hai duurī
tum khīñch khīñch mujh ko us palle par na laao
ho sharm aañkh meñ to bhārī jahāz se hai
mat kar ke shoḳh-chashmī āshob sā uThāo
ab aate ho to aao har-lahza jī ghuTe hai
phir lutf kyā jo aa kar aadhā bhī tum na paao
thī sehr yā nigah thī ham aap ko the bhūle
us jādūgar ko yaaro phir bhī tanik dikhāo
baare ga.e so guzre jī bhar bhar aate haiñ kyā
ā.inda 'mīr' sāhib dil mat kahīñ lagāo
itna kaha na hum se tum ne kabhu ki aao
kahe ko yun khaDe ho wahshi se baiTh jao
ye chand ke se TukDe chhupte nahin chhupae
har chand apne munh ko burqe mein tum chhupao
do-chaar tir yaro is se bhali hai duri
tum khinch khinch mujh ko us palle par na lao
ho sharm aankh mein to bhaari jahaz se hai
mat kar ke shoKH-chashmi aashob sa uThao
ab aate ho to aao har-lahza ji ghuTe hai
phir lutf kya jo aa kar aadha bhi tum na pao
thi sehr ya nigah thi hum aap ko the bhule
us jadugar ko yaro phir bhi tanik dikhao
bare gae so guzre ji bhar bhar aate hain kya
aainda 'mir' sahib dil mat kahin lagao
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 2, Ghazal No- 0909
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.