ittifaq aisa hai kuDhte hi sada rahte hain
ittifāq aisā hai kuḌhte hī sadā rahte haiñ
ek aalam meñ haiñ ham ve pe judā rahte haiñ
barse talvār ki haa.il ho koī sail-e-balā
pesh kuchh aao ham us kūche meñ jā rahte haiñ
kaam aatā hai mayassar kise un hoñToñ se
bābat-e-bosa haiñ par sab ko chumā rahte haiñ
dasht meñ gard-e-rah us kī uThe hai jīdhar se
vahsh-o-tair āñkheñ udhar hī ko lagā rahte haiñ
kyā tirī garmī-e-bāzār kaheñ ḳhūbī kī
saiñkaḌoñ aan ke yūsuf se bikā rahte haiñ
bistara ḳhāk-e-rah us kī to hai apnā lekin
girya-e-ḳhūnīñ se lohū meñ nahā rahte haiñ
kyoñ uḌāte ho bulāyā hameñ kab kab ham aap
jaise gardān-kabūtar yahīñ aa rahte haiñ
haq-talaf-kun haiñ butāñ yaad dilā.ūñ kab tak
har sahar sohbat-e-doshīñ ko bhulā rahte haiñ
yaad meñ us ke qad-o-qāmat-e-dilkash kī 'mīr'
apne sar ek qayāmat na.ī lā rahte haiñ
ittifaq aisa hai kuDhte hi sada rahte hain
ek aalam mein hain hum we pe juda rahte hain
barse talwar ki hail ho koi sail-e-bala
pesh kuchh aao hum us kuche mein ja rahte hain
kaam aata hai mayassar kise un honTon se
babat-e-bosa hain par sab ko chuma rahte hain
dasht mein gard-e-rah us ki uThe hai jidhar se
wahsh-o-tair aankhen udhar hi ko laga rahte hain
kya teri garmi-e-bazar kahen KHubi ki
sainkaDon aan ke yusuf se bika rahte hain
bistara KHak-e-rah us ki to hai apna lekin
girya-e-KHunin se lohu mein naha rahte hain
kyon uDate ho bulaya hamein kab kab hum aap
jaise gardan-kabutar yahin aa rahte hain
haq-talaf-kun hain butan yaad dilaun kab tak
har sahar sohbat-e-doshin ko bhula rahte hain
yaad mein us ke qad-o-qamat-e-dilkash ki 'mir'
apne sar ek qayamat nai la rahte hain
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 2, Ghazal No- 0895
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.