izzat apni ab nahin hai yar ko manzur Tuk
izzat apnī ab nahīñ hai yaar ko manzūr Tuk
paas jaatā huuñ to kahtā hai ki baiTho duur Tuk
haal merā shahr meñ kahte raheñge log der
is fasāne ke ta.iiñ hone to do mash.hūr Tuk
pusht-e-pā maare haiñ shāhī par gadā-e-kū-e-ishq
dekho tum yaañ kā ḳhudā ke vāste dastūr Tuk
chāhne kā mujh se be-qudrat kā kyā hai e.atibār
ishq karne ko kisū ke chāhiye maqdūr Tuk
haq to sab kuchh thā hī nāhaq jaan dī kis vāste
hausle se baat kartā kāshke mansūr Tuk
munkir-e-husn-e-butāñ kyūñkar na hove shaiḳh-e-shahr
haq hai us kī or vo āñkhoñ se hai ma.azūr Tuk
phir kahīñ kyā dil lagāyā 'mīr' jo hai zard-rū
muñh par aaya thā tire do chaar din se nuur Tuk
izzat apni ab nahin hai yar ko manzur Tuk
pas jata hun to kahta hai ki baiTho dur Tuk
haal mera shahr mein kahte rahenge log der
is fasane ke tain hone to do mashhur Tuk
pusht-e-pa mare hain shahi par gada-e-ku-e-ishq
dekho tum yan ka KHuda ke waste dastur Tuk
chahne ka mujh se be-qudrat ka kya hai eatibar
ishq karne ko kisu ke chahiye maqdur Tuk
haq to sab kuchh tha hi nahaq jaan di kis waste
hausle se baat karta kashke mansur Tuk
munkir-e-husn-e-butan kyunkar na howe shaiKH-e-shahr
haq hai us ki or wo aankhon se hai mazur Tuk
phir kahin kya dil lagaya 'mir' jo hai zard-ru
munh par aaya tha tere do chaar din se nur Tuk
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 2, Ghazal No- 0839
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.