jawe judai ka ye aazar gah-bashad
jaave judā.ī kā ye āzār gāh-bāshad
achchhā bhī hove dil kā bīmār gāh-bāshad
ummīd-vār us ke milne ke jaise haiñ ham
aa nikle naaz kartā yaañ yaar gāh-bāshad
go qadr dil kī kam hai par chiiz kaam kī hai
le to rakheñ tumheñ ho darkār gāh-bāshad
kahtā huuñ so kare hai lekin rahūñ huuñ Dartā
aave kisū suḳhan par takrār gāh-bāshad
kahte to haiñ ga.e so kab aa.e kyā kareñ tab
jo ḳhvāb-e-marg se hoñ bedār gāh-bāshad
ġhusse se apne abrū jo ḳham kare hai har-dam
vo ik lagā bhī baiThe talvār gāh-bāshad
ġhairat se 'ishq kī Dar kyā shaiḳh kibr-e-dīnī
tasbīh kā ho rishta zunnār gāh-bāshad
vahshat pe merī mat jā ġhairat bahut hai mujh ko
ho baiThūñ marne ko bhī tayyār gāh-bāshad
hai zabt-e-'ishq mushkil hotā nahīñ kisū se
Dar 'mīr' bhī ho is kā iz.hār gāh-bāshad
jawe judai ka ye aazar gah-bashad
achchha bhi howe dil ka bimar gah-bashad
ummid-war us ke milne ke jaise hain hum
aa nikle naz karta yan yar gah-bashad
go qadr dil ki kam hai par chiz kaam ki hai
le to rakhen tumhein ho darkar gah-bashad
kahta hun so kare hai lekin rahun hun Darta
aawe kisu suKHan par takrar gah-bashad
kahte to hain gae so kab aae kya karen tab
jo KHwab-e-marg se hon bedar gah-bashad
ghusse se apne abru jo KHam kare hai har-dam
wo ek laga bhi baiThe talwar gah-bashad
ghairat se 'ishq ki Dar kya shaiKH kibr-e-dini
tasbih ka ho rishta zunnar gah-bashad
wahshat pe meri mat ja ghairat bahut hai mujh ko
ho baiThun marne ko bhi tayyar gah-bashad
hai zabt-e-'ishq mushkil hota nahin kisu se
Dar 'mir' bhi ho is ka izhaar gah-bashad
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 4, Ghazal No- 1380
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.