jaziba mera tha kaamil so bande ke wo ghar aaya
jāziba merā thā kāmil so bande ke vo ghar aaya
shukr ḳhudā kā kariye kahāñ tak ahd-e-firāq basar aaya
bijlī sā vo chamak gayā āñkhoñ se phuiyeñ paḌne lagīñ
abr-namat ḳhafagī se us bin jī bhī ruñDhā dil bhar aaya
gul the sau sau rang par aisā shor-e-tuyūr buland na thā
us ke rang chaman meñ koī shāyad phuul nazar aaya
sail-e-balā joshāñ thā lekin paanī paanī sharm se thā
sāhil-e-dariyā ḳhushk-labī dekhe se merī tar aaya
kyā hī ḳhush-purkār hai dilbar naucha-e-kushtī-gīr apnā
koī zabardast us se laḌ kar ohde se kab bar aaya
san.at-gariyāñ bahuterī kiiñ lek dareġh hazār dareġh
jis se yaar bhī miltā ham se aisā vo na hunar aaya
'mīr' pareshāñ-ḳhātir aa kar raat rahā but-ḳhāne meñ
raah rahī ka.abe kī ūdhar ye saudā.ī kidhar aaya
jaziba mera tha kaamil so bande ke wo ghar aaya
shukr KHuda ka kariye kahan tak ahd-e-firaq basar aaya
bijli sa wo chamak gaya aankhon se phuiyen paDne lagin
abr-namat KHafagi se us bin ji bhi runDha dil bhar aaya
gul the sau sau rang par aisa shor-e-tuyur buland na tha
us ke rang chaman mein koi shayad phul nazar aaya
sail-e-bala joshan tha lekin pani pani sharm se tha
sahil-e-dariya KHushk-labi dekhe se meri tar aaya
kya hi KHush-purkar hai dilbar naucha-e-kushti-gir apna
koi zabardast us se laD kar ohde se kab bar aaya
sanat-gariyan bahuteri kin lek daregh hazar daregh
jis se yar bhi milta hum se aisa wo na hunar aaya
'mir' pareshan-KHatir aa kar raat raha but-KHane mein
rah rahi kabe ki udhar ye saudai kidhar aaya
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 5, Ghazal No- 1556
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.