jab tak ki tera guzar na howe
jab tak ki tirā guzar na hove
jalva mirī gor par na hove
le teġh-o-sipar ko tū jidhar ho
ḳhurshīd kā muñh udhar na hove
ghar dūd-e-jigar se bhar gayā aah
kab tak mirī chashm tar na hove
rone kī hai jāgah aah kariye
phir dil meñ tire asar na hove
bīmār rahe haiñ us kī āñkheñ
dekho kisū kī nazar na hove
ruktī nahīñ teġh-e-nāla hargiz
jab tak ki jigar sipar na hove
kar be-ḳhabar ik nigah se saaqī
lekin kisū ko ḳhabar na hove
ḳhaste tire mū-e-ambarīñ ke
kyūñkar ji.eñ sabr gar na hove
rakh dekh ke rāh-e-ishq meñ paa.e
yaañ 'mīr' kisū kā sar na hove
jab tak ki tera guzar na howe
jalwa meri gor par na howe
le tegh-o-sipar ko tu jidhar ho
KHurshid ka munh udhar na howe
ghar dud-e-jigar se bhar gaya aah
kab tak meri chashm tar na howe
rone ki hai jagah aah kariye
phir dil mein tere asar na howe
bimar rahe hain us ki aankhen
dekho kisu ki nazar na howe
rukti nahin tegh-e-nala hargiz
jab tak ki jigar sipar na howe
kar be-KHabar ek nigah se saqi
lekin kisu ko KHabar na howe
KHaste tere mu-e-ambarin ke
kyunkar jien sabr gar na howe
rakh dekh ke rah-e-ishq mein pae
yan 'mir' kisu ka sar na howe
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0557
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.