jahan mein roz hai aashob uski qamat se
jahāñ meñ roz hai āshob us kī qāmat se
uThe hai fitna har ik shoḳh-tar qayāmat se
muā huuñ ho ke dil-afsurda ranj-e-kulfat se
uge hai sabza-e-pazhmurda merī turbat se
jahāñ mile tahāñ kāfir hī honā paḌtā hai
ḳhudā panāh meñ rakkhe butoñ kī sohbat se
tasallī un ne na kī ek do suḳhan se kabhū
jo koī baat kahī bhī to aadhī luknat se
palak ke mārte ham to nazar nahīñ aate
suḳhan karo ho abas tum hamārī fursat se
amīr-zādoñ se dillī ke mil na tā-maqdūr
ki ham faqīr hue haiñ unhīñ kī daulat se
ye jahl dekh ki an-samjhe maiñ uThā laayā
girāñ vo baar jo thā besh apnī tāqat se
rahā na hogā ba-ḳhud sāne’-e-azal bhī tab
banāyā hogā jab us muñh ko dast-e-qudrat se
vo āñkheñ phere hī letā hai dekhte kyā ho
muāmlat hai hameñ dil kī be-muravvat se
jo soche Tuk to vo matlūb ham hī nikle 'mīr'
ḳharāb phirte the jis kī talab meñ muddat se
jahan mein roz hai aashob us ki qamat se
uThe hai fitna har ek shoKH-tar qayamat se
mua hun ho ke dil-afsurda ranj-e-kulfat se
uge hai sabza-e-pazhmurda meri turbat se
jahan mile tahan kafir hi hona paDta hai
KHuda panah mein rakkhe buton ki sohbat se
tasalli un ne na ki ek do suKHan se kabhu
jo koi baat kahi bhi to aadhi luknat se
palak ke marte hum to nazar nahin aate
suKHan karo ho abas tum hamari fursat se
amir-zadon se dilli ke mil na ta-maqdur
ki hum faqir hue hain unhin ki daulat se
ye jahl dekh ki an-samjhe main uTha laya
giran wo bar jo tha besh apni taqat se
raha na hoga ba-KHud sane’-e-azal bhi tab
banaya hoga jab us munh ko dast-e-qudrat se
wo aankhen phere hi leta hai dekhte kya ho
muamlat hai hamein dil ki be-murawwat se
jo soche Tuk to wo matlub hum hi nikle 'mir'
KHarab phirte the jis ki talab mein muddat se
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0570
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.