jama hote nahin hawas kahin
jam.a hote nahīñ havās kahīñ
jaa.eñ yaañ se jo ham udaas kahīñ
dil kī do ashk se na niklī bhaḌās
osoñ bujhtī nahīñ hai pyaas kahīñ
baav ḳhushbū hai aa.ī hai vaañ se
koī chhuptī hai gul kī baas kahīñ
is junūñ meñ kahīñ hai sar par ḳhaak
TukḌe ho kar girā libās kahīñ
gird-e-sar yaar ke phireñ pahroñ
ham jo hoñ us ke ās-pās kahīñ
sab jagah log haqq-o-nāhaq par
na milā haif haq-shanās kahīñ
har taraf haiñ umīd-vār-e-yār
us se koī nahīñ nirās kahīñ
'ishq kā mahv dast-e-shīrīñ huuñ
jaan kā bhī nahīñ hirās kahīñ
'arsh tak to ḳhayāl pahuñche 'mīr'
vahm phir hai kahīñ qayās kahīñ
jama hote nahin hawas kahin
jaen yan se jo hum udas kahin
dil ki do ashk se na nikli bhaDas
oson bujhti nahin hai pyas kahin
baw KHushbu hai aai hai wan se
koi chhupti hai gul ki bas kahin
is junun mein kahin hai sar par KHak
TukDe ho kar gira libas kahin
gird-e-sar yar ke phiren pahron
hum jo hon us ke aas-pas kahin
sab jagah log haqq-o-nahaq par
na mila haif haq-shanas kahin
har taraf hain umid-war-e-yar
us se koi nahin niras kahin
'ishq ka mahw dast-e-shirin hun
jaan ka bhi nahin hiras kahin
'arsh tak to KHayal pahunche 'mir'
wahm phir hai kahin qayas kahin
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 3, Ghazal No- 1178
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.