jhuTe bhi puchhte nahin Tuk haal aan kar
jhūTe bhī pūchhte nahīñ Tuk haal aan kar
anjān itne kyoñ hue jaate ho jaan kar
ve log tum ne ek hī shoḳhī meñ kho diye
paidā kiye the charḳh ne jo ḳhaak chhān kar
jhamke dikhā ke bā’is-e-hangāma hī rahe
par ghar se dar pe aa.e na tum baat maan kar
kahte na the ki jaan se jaate raheñge ham
achchhā nahīñ hai aa na hameñ imtihān kar
kam-go jo ham hue to sitam kuchh na ho gayā
achchhī nahīñ ye baat mat itnī zabān kar
ham ve haiñ jin ke ḳhuuñ se tirī raah sab hai gul
mat kar ḳharāb ham ko tū auroñ meñ saan kar
tā kushta-e-vafā mujhe jaane tamām ḳhalq
turbat pe merī ḳhuun se mere nishān kar
nāz-o-‘itāb-o-ḳhashm kahāñ tak uThā.iye
yā-rab kabhū to ham pe use mehrbān kar
afsāne mā-o-man ke suneñ 'mīr' kab talak
chal ab ki soveñ muñh pe dupaTTe ko taan kar
jhuTe bhi puchhte nahin Tuk haal aan kar
anjaan itne kyon hue jate ho jaan kar
we log tum ne ek hi shoKHi mein kho diye
paida kiye the charKH ne jo KHak chhan kar
jhamke dikha ke ba’is-e-hangama hi rahe
par ghar se dar pe aae na tum baat man kar
kahte na the ki jaan se jate rahenge hum
achchha nahin hai aa na hamein imtihan kar
kam-go jo hum hue to sitam kuchh na ho gaya
achchhi nahin ye baat mat itni zaban kar
hum we hain jin ke KHun se teri rah sab hai gul
mat kar KHarab hum ko tu auron mein san kar
ta kushta-e-wafa mujhe jaane tamam KHalq
turbat pe meri KHun se mere nishan kar
naz-o-‘itab-o-KHashm kahan tak uThaiye
ya-rab kabhu to hum pe use mehrban kar
afsane ma-o-man ke sunen 'mir' kab talak
chal ab ki sowen munh pe dupaTTe ko tan kar
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0226
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.