ji chahe mil kisu se ya sab se tu juda rah
jī chāhe mil kisū se yā sab se tū judā rah
par ho sake to pyāre Tuk dil kā āshnā rah
kal be-takallufī meñ lutf us badan kā dekhā
niklā na kar qabā se ai gul bas ab Dhapā rah
'āshiq-ġhayūr jī de aur is taraf na dekhe
vo aañkh jo chhupāve to tū bhī Tuk khiñchā rah
pahuñcheñge aage dekheñ kis darja ko abhī to
is māh-e-chārdah kā sin das hai yā ki bārah
khīñchā kare hai har dam kyā teġh bul-havas par
us nā-sazā-e-ḳhūñ ke itnā na sar chaḌhā rah
mustaz.har-e-mohabbat thā kohkan vagarna
ye bojh kis se uThtā ek aur ek gyārah
har musht-e-ḳhāk yaañ kī chāhe hai ik ta.ammul
bin soche raah mat chal har gaam par khaḌā rah
shāyad ki sar-bulandī hove nasīb tere
juuñ gard-e-rāh sab ke paañv se tū lagā rah
us ḳhatt-e-sabz ne kuchh rūyat na rakkhī terī
kyā aisī zindagānī jā ḳhizr zahr khā rah
had se ziyāda vā'iz ye kūdnā uchhalnā
kaahe ko jaate haiñ ham ai ḳhirs ab bañdhā rah
maiñ tū haiñ vahm donoñ kyā hai ḳhayāl tujh ko
jhaaḌ āstīn mujh se haath aap se uThā rah
jaise ḳhayāl-e-muflis jaatā hai sau jagah tū
mujh be-navā ke bhī ghar ek-ādh raat aa rah
dauḌe bahut valekin matlab ko kaun pahuñchā
ā.inda tū bhī ham sā ho kar shikasta-pā rah
jab hosh meñ tū aayā ūdhar hī jaate paayā
is se to 'mīr' chande us kūche hī meñ jā rah
ji chahe mil kisu se ya sab se tu juda rah
par ho sake to pyare Tuk dil ka aashna rah
kal be-takallufi mein lutf us badan ka dekha
nikla na kar qaba se ai gul bas ab Dhapa rah
'ashiq-ghayur ji de aur is taraf na dekhe
wo aankh jo chhupawe to tu bhi Tuk khincha rah
pahunchenge aage dekhen kis darja ko abhi to
is mah-e-chaardah ka sin das hai ya ki barah
khincha kare hai har dam kya tegh bul-hawas par
us na-saza-e-KHun ke itna na sar chaDha rah
mustazhar-e-mohabbat tha kohkan wagarna
ye bojh kis se uThta ek aur ek gyarah
har musht-e-KHak yan ki chahe hai ek tammul
bin soche rah mat chal har gam par khaDa rah
shayad ki sar-bulandi howe nasib tere
jun gard-e-rah sab ke panw se tu laga rah
us KHatt-e-sabz ne kuchh ruyat na rakkhi teri
kya aisi zindagani ja KHizr zahr kha rah
had se ziyaada wa'iz ye kudna uchhalna
kahe ko jate hain hum ai KHirs ab bandha rah
main tu hain wahm donon kya hai KHayal tujh ko
jhaD aastin mujh se hath aap se uTha rah
jaise KHayal-e-muflis jata hai sau jagah tu
mujh be-nawa ke bhi ghar ek-adh raat aa rah
dauDe bahut walekin matlab ko kaun pahuncha
aainda tu bhi hum sa ho kar shikasta-pa rah
jab hosh mein tu aaya udhar hi jate paya
is se to 'mir' chande us kuche hi mein ja rah
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0423
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.