ji ruk gae ai hamdam dil KHun ho bhar aaya
jī ruk ga.e ai hamdam dil ḳhuun ho bhar aayā
ab zabt kareñ kab tak muñh tak to jigar aayā
thī chashm dam-e-āḳhir vo dekhne āvegā
so āñkhoñ meñ jī aayā par vo na nazar aayā
be-sudh paḌe haiñ saare sajjādoñ pe islāmī
daarū piye vo kāfir kaahe ko idhar aayā
har ḳhasta tirā ḳhvāhāñ yak zaḳhm-e-digar kā thā
kī mashq-e-sitam tū ne par ḳhuun na kar aayā
gul-barg hī kuchh tanhā paanī nahīñ ḳhajlat se
jumbish se tire lab kī yāqūt bhī tar aayā
bil-fe.al to hai qāsid mahv us ḳhat-o-gesū kā
Tuk chete to ham pūchheñ kyā le ke ḳhabar aayā
tābūt pe bhī mere patthar paḌe le jaate
is naḳhl meñ mātam ke kyā ḳhuub samar aayā
hai haq-ba-taraf us ke yuuñ jis ke gayā ho tū
saj aisī tirī dekhī ham ko bhī ḳhatar aayā
kyā kahiye ki patthar se sar mārte ham guzre
yuuñ apnā zamāna to bin yaar basar aayā
san.at-gariyāñ ham ne kiiñ saiñkaḌoñ yaañ lekin
jis se kabhū vo miltā aisā na hunar aayā
dar hī ke ta.iiñ takte pathrā ga.iiñ āñkheñ to
vo zālim-e-sangīñ-dil kab 'mīr' ke ghar aayā
ji ruk gae ai hamdam dil KHun ho bhar aaya
ab zabt karen kab tak munh tak to jigar aaya
thi chashm dam-e-aKHir wo dekhne aawega
so aankhon mein ji aaya par wo na nazar aaya
be-sudh paDe hain sare sajjadon pe islami
daru piye wo kafir kahe ko idhar aaya
har KHasta tera KHwahan yak zaKHm-e-digar ka tha
ki mashq-e-sitam tu ne par KHun na kar aaya
gul-barg hi kuchh tanha pani nahin KHajlat se
jumbish se tere lab ki yaqut bhi tar aaya
bil-feal to hai qasid mahw us KHat-o-gesu ka
Tuk chete to hum puchhen kya le ke KHabar aaya
tabut pe bhi mere patthar paDe le jate
is naKHl mein matam ke kya KHub samar aaya
hai haq-ba-taraf us ke yun jis ke gaya ho tu
saj aisi teri dekhi hum ko bhi KHatar aaya
kya kahiye ki patthar se sar marte hum guzre
yun apna zamana to bin yar basar aaya
sanat-gariyan hum ne kin sainkaDon yan lekin
jis se kabhu wo milta aisa na hunar aaya
dar hi ke tain takte pathra gain aankhen to
wo zalim-e-sangin-dil kab 'mir' ke ghar aaya
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 2, Ghazal No- 0702
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.