jo junun-o-ishq ki tadbir hai
jo junūn-o-ishq kī tadbīr hai
so na yaañ shamshīr nai zanjīr hai
vasf us kā baaġh meñ karnā na thā
gul hamārā ab garebāñ-gīr hai
dekh rahtā hai jo dekhe hai use
dilrubā ā.īna-rū tasvīr hai
pā.e-gīr us ke na hoñ kyoñ dard-mand
halqa halqa zulf vo zanjīr hai
said ke tan par haiñ sab gulhā-e-zaḳhm
kis qadar ḳhush-kār us kā tiir hai
muddat-e-hijrāñ ne kī nai kuchh kamī
mere tūl-e-umr kī taqsīr hai
ḳhat na likhte the so tāb-e-dil ga.ī
daftaroñ kī aksar ab tahrīr hai
rakh nazar meñ bhī ḳharāb ābādiyāñ
ai ki tujh ko kuchh ġham-e-ta.amīr hai
saḳht kāfir haiñ barahman-zād-gāñ
muslimoñ kī un ke haañ takfīr hai
guftugū meñ rahte the aage ḳhamosh
har suḳhan kī ab mire taqrīr hai
nazm mohsin kī rahī sar-mashq der
is mire bhī sher meñ tāsīr hai
mar ga.e par bhī na rusvā.ī ga.ī
shahr meñ ab na.ash bhī tash.hīr hai
kyā sitam hai ye ki hote teġh-o-tasht
zab.h karne meñ mire tāḳhīr hai
'mīr' ko hai kyā javānī meñ salāh
ab to saare mai-kade kā piir hai
jo junun-o-ishq ki tadbir hai
so na yan shamshir nai zanjir hai
wasf us ka bagh mein karna na tha
gul hamara ab gareban-gir hai
dekh rahta hai jo dekhe hai use
dilruba aaina-ru taswir hai
pae-gir us ke na hon kyon dard-mand
halqa halqa zulf wo zanjir hai
said ke tan par hain sab gulha-e-zaKHm
kis qadar KHush-kar us ka tir hai
muddat-e-hijran ne ki nai kuchh kami
mere tul-e-umr ki taqsir hai
KHat na likhte the so tab-e-dil gai
daftaron ki aksar ab tahrir hai
rakh nazar mein bhi KHarab aabaadiyan
ai ki tujh ko kuchh gham-e-tamir hai
saKHt kafir hain barahman-zad-gan
muslimon ki un ke han takfir hai
guftugu mein rahte the aage KHamosh
har suKHan ki ab mere taqrir hai
nazm mohsin ki rahi sar-mashq der
is mere bhi sher mein tasir hai
mar gae par bhi na ruswai gai
shahr mein ab nash bhi tashhir hai
kya sitam hai ye ki hote tegh-o-tasht
zabh karne mein mere taKHir hai
'mir' ko hai kya jawani mein salah
ab to sare mai-kade ka pir hai
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 6, Ghazal No- 1879
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.