josh rone ka mujhe aaya hai ab
josh rone kā mujhe aaya hai ab
dīda-e-tar abr sā chhāyā hai ab
TeḌhe bāñke sīdhe sab ho jā.eñge
us ke bāloñ ne bhī bal khāyā hai ab
huuñ ba-ḳhud to koī pahuñche mujh talak
be-ḳhudī ne duur pahuñchāyā hai ab
kāshke ho jaa.e siina chāk-chāk
rukte rukte jī bhī ghabrāyā hai ab
raah par vo kyūñke aave mast-e-nāz
dushmanoñ ne us ko bahkāyā hai ab
kyā jiyeñge daaġh ho kar ḳhuuñ huā
zindagī kā dil jo sarmāya hai ab
'mīr' shāyad ka.abe hī meñ rah paḌe
dair se to yaañ ḳhudā laayā hai ab
josh rone ka mujhe aaya hai ab
dida-e-tar abr sa chhaya hai ab
TeDhe banke sidhe sab ho jaenge
us ke baalon ne bhi bal khaya hai ab
hun ba-KHud to koi pahunche mujh talak
be-KHudi ne dur pahunchaya hai ab
kashke ho jae sina chaak-chaak
rukte rukte ji bhi ghabraya hai ab
rah par wo kyunke aawe mast-e-naz
dushmanon ne us ko bahkaya hai ab
kya jiyenge dagh ho kar KHun hua
zindagi ka dil jo sarmaya hai ab
'mir' shayad kabe hi mein rah paDe
dair se to yan KHuda laya hai ab
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 4, Ghazal No- 1356
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.