junun ka abas mere mazkur hai
junūñ kā abas mere mazkūr hai
javānī divānī hai mash.hūr hai
kaho chashm-e-ḳhūñ-bār ko chashm tum
ḳhudā jaane kab kā ye nāsūr hai
falak par jo mah hai to raushan hai ye
ki muñh se tire nisbat-e-dūr hai
gadā shaah donoñ haiñ dil-bāḳhta
ajab ishq-bāzī kā dastūr hai
qayāmat hai hogā jo raf.a-e-hijāb
na be-maslahat yaar mastūr hai
ham ab nā-tavānoñ ko marnā hai sirf
nahīñ vo ki jiinā bhī manzūr hai
sitam meñ hamārī qasam hai tumheñ
karo sirf jitnā ki maqdūr hai
niyāz apnā jis martabe meñ hai yaañ
usī martabe meñ vo maġhrūr hai
huā haal bande kā go kuchh ḳharāb
ḳhudā.ī abhī us kī māmūr hai
gayā shāyad us sham.a-rū kā ḳhayāl
ki ab 'mīr' ke muñh pe kuchh nuur hai
junun ka abas mere mazkur hai
jawani diwani hai mashhur hai
kaho chashm-e-KHun-bar ko chashm tum
KHuda jaane kab ka ye nasur hai
falak par jo mah hai to raushan hai ye
ki munh se tere nisbat-e-dur hai
gada shah donon hain dil-baKHta
ajab ishq-bazi ka dastur hai
qayamat hai hoga jo rafa-e-hijab
na be-maslahat yar mastur hai
hum ab na-tawanon ko marna hai sirf
nahin wo ki jina bhi manzur hai
sitam mein hamari qasam hai tumhein
karo sirf jitna ki maqdur hai
niyaz apna jis martabe mein hai yan
usi martabe mein wo maghrur hai
hua haal bande ka go kuchh KHarab
KHudai abhi us ki mamur hai
gaya shayad us shama-ru ka KHayal
ki ab 'mir' ke munh pe kuchh nur hai
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 2, Ghazal No- 1035
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.