kabe ke dar pe the hum ya dair mein dar aae
ka.abe ke dar pe the ham yā dair meñ dar aa.e
āvārgī to dekho kīdhar se kīdhar aa.e
dīvāngī hai merī ab ke koī tamāshā
rahte haiñ ghere mujh ko kyā apne kyā parā.e
paak ab huī hai kushtī ham ko jo ishq se thī
ohde se us balā ke kab nā-tavāñ bar aa.e
vus.at bayāñ karūñ kyā dāmān-e-chashm-e-tar kī
rone se mere kyā kyā abr-e-siyah tar aa.e
aa ham-nashīñ bane to aaj un kane bhī chaliye
kahte haiñ 'mīr' sāhib muddat meñ kal ghar aa.e
kabe ke dar pe the hum ya dair mein dar aae
aawargi to dekho kidhar se kidhar aae
diwangi hai meri ab ke koi tamasha
rahte hain ghere mujh ko kya apne kya parae
pak ab hui hai kushti hum ko jo ishq se thi
ohde se us bala ke kab na-tawan bar aae
wusat bayan karun kya daman-e-chashm-e-tar ki
rone se mere kya kya abr-e-siyah tar aae
aa ham-nashin bane to aaj un kane bhi chaliye
kahte hain 'mir' sahib muddat mein kal ghar aae
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 3, Ghazal No- 1307
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.