kaam pal mein mera tamam kiya
kaam pal meñ mirā tamām kiyā
ġharaz us shoḳh ne bhī kaam kiyā
sarv-o-shamshād ḳhaak meñ mil ga.e
tū ne gulshan meñ kyoñ ḳhirām kiyā
qaaf
sa'ī-e-tauf-e-haram na kī hargiz
āstāñ par tire maqām kiyā
tere kūche ke rahne vāloñ ne
yahīñ se ka.abe ko salām kiyā
us ke ayyār-pan ne mere ta.iiñ
ḳhādim-o-banda-o-ġhulām kiyā
hāl-e-bad meñ mire ba-tang aa kar
aap ko sab meñ nek-nām kiyā
duḳhtar-e-raz se kyā thā mere ta.iiñ
shaiḳh kī zid pe maiñ harām kiyā
qaaf
ho gayā dil mirā tabarruk jab
vird ye qit.a-e-payām kiyā
''dillī ke kaj-kulāh laḌkoñ ne
kaam ushshāq kā tamām kiyā
koī āshiq nazar nahīñ aatā
Topī vāloñ ne qatl-e-ām kiyā''
ishq-e-ḳhūbāñ ko 'mīr' maiñ apnā
qibla-o-ka.aba-o-imām kiyā
kaam pal mein mera tamam kiya
gharaz us shoKH ne bhi kaam kiya
sarw-o-shamshad KHak mein mil gae
tu ne gulshan mein kyon KHiram kiya
qaf
sa'i-e-tauf-e-haram na ki hargiz
aastan par tere maqam kiya
tere kuche ke rahne walon ne
yahin se kabe ko salam kiya
us ke ayyar-pan ne mere tain
KHadim-o-banda-o-ghulam kiya
haal-e-bad mein mere ba-tang aa kar
aap ko sab mein nek-nam kiya
duKHtar-e-raz se kya tha mere tain
shaiKH ki zid pe main haram kiya
qaf
ho gaya dil mera tabarruk jab
wird ye qita-e-payam kiya
dilli ke kaj-kulah laDkon ne
kaam ushshaq ka tamam kiya
koi aashiq nazar nahin aata
Topi walon ne qatl-e-am kiya
ishq-e-KHuban ko 'mir' main apna
qibla-o-kaba-o-imam kiya
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0132
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.