kab se sohbat bigaD rahi hai kyunkar koi banawe ab
kab se sohbat bigaḌ rahī hai kyūñkar koī banāve ab
nāz-o-niyāz kā jhagḌā aisā kis ke kane le jaave ab
sau chitte aate haiñ jī meñ pagḌī par gul rakkhe se
kis ko dimāġh rahā hai us ke jo harf-e-ḳhashin uThāve ab
teġh buland huī hai us kī qismat hoñge zaḳhm-e-rasā
mard agar hai said-e-haram to koī jarāhat khāve ab
daaġh sar-o-sīne ke mere hasrat-āgīñ chashm hue
dekheñ kyā kyā ‘ishq-e-sitam-kash ham logoñ ko dikhāve ab
dam do-dam ghabrāhaT ho to ho saktā hai tadāruk bhī
jī kī chaal se paidā hai so koī ghaḌī meñ jaave ab
dil ke daaġh bhī gul haiñ lekin dil kī tasallī hotī nahīñ
kāshke do gul-barg udhar se baav uḌā kar laave ab
us ke kafak kī pāmālī meñ dil jo gayā thā shāyad 'mīr'
yaar idhar ho maa.il Tuk to vo rafta haath aave ab
kab se sohbat bigaD rahi hai kyunkar koi banawe ab
naz-o-niyaz ka jhagDa aisa kis ke kane le jawe ab
sau chitte aate hain ji mein pagDi par gul rakkhe se
kis ko dimagh raha hai us ke jo harf-e-KHashin uThawe ab
tegh buland hui hai us ki qismat honge zaKHm-e-rasa
mard agar hai said-e-haram to koi jarahat khawe ab
dagh sar-o-sine ke mere hasrat-agin chashm hue
dekhen kya kya ‘ishq-e-sitam-kash hum logon ko dikhawe ab
dam do-dam ghabrahaT ho to ho sakta hai tadaruk bhi
ji ki chaal se paida hai so koi ghaDi mein jawe ab
dil ke dagh bhi gul hain lekin dil ki tasalli hoti nahin
kashke do gul-barg udhar se baw uDa kar lawe ab
us ke kafak ki pamali mein dil jo gaya tha shayad 'mir'
yar idhar ho mail Tuk to wo rafta hath aawe ab
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 5, Ghazal No- 1574
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.